Shabe ashoor dhalti jaa rahi hai

- Shadman Raza (2017)


Haaye haye haaye..(2)
ghabraye gi zainab..(2)
shab e ashoor dhalti jaa rahi hai
ali ki laadli ghabra rahi hai
shab e ashoor dhalti jaa rahi hai..(2)

1. {Zamee'n chup hai falak sehma hua hai
dil e zainab paresha'n ho raha hai}..(2)
ghata zulm o sitam ki chaa rahi hai
shabe ashoor..

2. {Qaza ki zadd pe zehra ka chaman hai
hussaini qafla tashna dahan hai}..(2)
lahu chashme falak barsa rahi hai
shabe ashoor..

3. {Jidhar dekho nazar aata hai lashkar
ajab purhaal hai sehra ka manzar}..(2)
yazidi fauj simti aa rahi hai
shabe ashoor..

4. {Kabhi auno mohammad ko bulaya
kabhi seene se akbar ko lagaya}..(2)
kabhi abbas ko samjha rahi hai
shabe ashoor..

5. {Kabhi gehwara e asghar jhula kar
kabhi godi mein bhai ko uthakar}..(2)
sakina khud ko yu behla rahi hai
shabe ashoor..

6. {Rasool e paak ki masnad bicha kar
ali akbar ko pehlu mein bitha kar}..(2)
sukoon e qalb zainab paa rahi hai
shabe ashoor..

7. {Khamoshi dasht mein chhayi hui hai
sakina aaj ghabrayi hui hai}..(2)
sadaa e al-atash bas aa rahi hai
shabe ashoor..

8. {Qalam khursheed likhta hi rahega
gham e shabbir ka darya bahega]..(2)
gauhar fikre rasaa barsa rahi hai
shab e ashoor dhalti jaa rahi hai

ali ki laadli ghabra rahi hai
shab e ashoor dhalti jaa rahi hai