Ishq e hussaini

- Imran Mehdi (2014)


Kaabaye qalbam
Qiblaye jaanam
Waarise Quraa'n
Guft ee'n Yazdaa'n
Ya Husain(as).. (2)

Aashiqe tuyam Khaadime tuyam
Deene manam tu jaane manam tu
mehret mehre Murtuza(as) hast
Ishqe Husaini ishqe Khuda hast

Ishq faqat ishq e Husaini.. (4)

1. Tafseere baqa tanveere ataa tash'heere aqeeda ishqe Husain(as)
Waajib hai tilaawat har lamha ik aisa wazeefa ishqe Husain(as)
Aaghosh se maadar ki apne humko to mila hai ishqe Husain(as)
Hum baaqi rahe ya mit jaye par baaqi rahega ishqe Husain(as)

2. Ye ishqe Husain ibne Haider(as) hai Behre karam aur Behre sakha
Sehra ki khaak me shaamil ho to kardeta hai khaake shefa
Aasi ko yehi Hur(as) karta hai iske hi sabab Mukhtar bana
Utri jo mawaddat ki aayat deti hai musalsal ek sada

3. Ye ishqe Husain(as) hi karta hai haq goyi ki jurrat paida
Ye daar ko mimbar karta hai har wasf isey haasil hai juda
Ye maut se kab ghabraata hai, hai dur bahot isse to fanaa
Ye jaan bhala kya cheez hai ye to rooh bhi kardeta hai fedaa

4. Gar ishqe Husain(as) samajhna haito Karbobala ki simt chalo
Kya ishq hai Khaaliq se Sheh(as) ko tum pehle zara isko dekh
Phir ishq samajh me aaega samjhoge agar tum Karbobala.. (2)

5. Wo jalti zami tapta sehra sab bhai bhatije aur bete
Akbar asghar Qaasim ghaazi aur aun o mohammad k laashe
Wo ishqe Khuda ka aalam tha sab tanha uthaaye hain Sheh(as) ne
Khanjar k tale sajde ki adaa phir shaame alam jalte khaime

6. Baazaar saja darbaar saja aur behne chali hain be parda
Par ishq e Khuda me aashiq k honto pe nahi koyi shikwa

7. Ishq e Khaaliq me haasil hai Sheh(as) ko kamaal
Ishq se hogai Karbala laa zawaal
Jab k peshe nazar ishq e Shabbir(as) ho
Zehen me aaye ashaabe Sheh(as) ki misaal

8. Chand qatre the magar misle samandar ubhre
Dubkar ishq e Husaini me bahattar ubhre
Naam bas wo hi hue khaake shefa me shaamil
Lauhe mehfuz se jo bar sare mehzar ubhre
Jab Shahe dee'n ne bujhaaya hai charaaghe Khaima
Chaand ban ban k waha khaak k paikar ubhre..

9. Raaze haq ka jo talabgaar nazar aaega
Ishqe Shabbir(as) se sar shaar nazar aaega
Ishqe Shabbir(as) agar hadd se guzar jaye to
Sirf Abbas(as) alamdaar nazar aaega

10. Tamseel nahi milti uski jo ishq tha ghaazi ko Sheh(as) se
IMRAN se ye SALMAN kahi ab mera qalam aur kya likhe
Jab baat hado tak aa Pohche..
Ghaazi ghaazi ghaazi kehkar sab ehle jahaa'n khamosh hue..

Ishq faqat.....
mehret mehre Murtuza(as) hast
Ishqe Husaini ishqe Khuda hast..