Mai saniye zehra hu bhai

- Syed Muqarrib Raza Alipuri (2017)


Main saniye Zehra (s.a) Hun bhai.

Shabbir ki marqad par aakar Kehti thi tadap ke Binte Ali (a.s)
Jis shaher ki thi main shehzadi-2 oss shaher me Qaidi banke chali.
MAIN SANIYE ZEHRA (S.A) HUN BHAI-3

1) Wo tashna labi sooraj ki tapish, teerun fiza thaygon ki Chamak-2
Murjha Gaya har ek ghuncha wo gul Ye kaisi fiza moqtal me chali.
MAIN SANIYE ZEHRA (S.A) HUN BHAI-3

2) Shulo'n se bacha kar Abid (a.s) ko, Ghande pa utha kar le ayee-2
Khaime me wo Kaisi aag lagi bistar bhi jala masnad Bhi jali.
MAIN SANIYE ZEHRA (S.A) HUN BHAI-3

3) Aye jaane payamber Baad TERE, is tarha se guzri umr meri-2
Har din Teri Gham qwari me Dhala Har raath meri Sajdu'n Dhali.
MAIN SANIYE ZEHRA (S.A) HUN BHAI-3

4) Wo Kaisi musibath Kaisi Jafa, Ham dono Behen Bhai pa howi-2
Rassi hai Mere Gardan me Bandhi Talwaar Teri Gardan pa chali.
MAIN SANIYE ZEHRA (S.A) HUN BHAI-3

5) Wo ek rasan aur Bara gale, Wo mu ko Chupana Baalu'n Se-2
Bhole gi na Teri majayee Bazaare sitam Koofe Gali.
MAIN SANIYE ZEHRA (S.A) HUN BHAI-3

6) Zakhmu'n se Bhara tha gul sa Badan, Kurta hi bana Wo Jiska Kafan-2
Khud maoth Teri Beti ki Mayyath pa Kafe afsoos Mali.
MAIN SANIYE ZEHRA (S.A) HUN BHAI-3

7) Kunbe se judayee Baap ka gam, sehte howe kitna ranjo Alam-2
Zinda me akeli Sooti hai Sahbbir Teri Nazo'n Pali.
MAIN SANIYE ZEHRA (S.A) HUN BHAI-3

8) Afkaar-e-MUJEEB aur looho Khalam, Awaaz-e-MUQARRIB Nohaye gam-3
Aye hain yahi saugaath liye Roze pa Tere aye Ibne Ali (a.s).

MAIN SANIYE ZEHRA (S.A) HUN BHAI-5