Karbala jaane walo

- Mir Rehan Abbas(Bangalore) (2017)


KARBALA JAANE WAALO, KARBALA JAANE WAALO
AAFATH SE HAM SAB DOOR RAHEN ZEHJRA YE DUAYEN KARTI HAI
SHABIR KO ROTI REHTI HAI AUR PHASLIYAA’N PAKDE CHALTI HAI
JAA TERA SAFAR AABAD RAHE HAM RAAH MERA SAJJAD RAHE
MOLA MERE SAB KO BULWAALO LAB PAR YE TERE SAJJAD RAHE
JAA KARBOBLA JAANE WAALE SHABIR KA ROZA CHOOM KE AA
AUR SHAM ME TU EK BHAAYI KI HAMSHEER KA ROZA CHOOM KE AA

KARBALA JAANE WAALO, KARBALA JAANE WAALO (2)
MERI ARZI YE SHEH KO SUNANA (2)
KARBALA JAANE WAALO, KARBALA JAANE WAALO (2)

1.SHEH KI DEHLEEZ PAR SAR JO RAKHNA,
KEHNA AISA BHI ASHIK HAI TERA
TUHJSE MILNE KO TADPE HAIN LEKIN
USKO MAJBOORIYO’N NE HAI GHERA
IBNE MUSHKIL KUSHA DO BULAAWA (2)
KARDO MUMKIN WAHAA’N USKA AANA
KARBALA JAANE WAALO, KARBALA JAANE WAALO (2)

2.JIS JAGAH TEER ASGHAR NE KHAAYA,
WAAH YE KEHNA KE AYE SHAAHZAADE
NAAM PAR TERE APNE WATAN ME
HAIN BIKHARI SABEELE’N LAGAATE
ROZ-O-SHAB HAMKO TADPAAYE RAKHEN (2)
TERA TISHNA HAI DUNYA SE JAANA
KARBALA JAANE WAALO, KARBALA JAANE WAALO (2)

3.DAR PE GHAZI KE YE JAAKE KEHNA,
DOOR APNE WATAN ME DILAAWAR
GHAM MANATE HAIN ABBAS TERA
TERE SHE’DA ALAM KO SAJAKAR
HAM FAQEERO’N KO BAABE HAWAEJ (2)
JALDI DARBAR APNE BULAANA
KARBALA JAANE WAALO, KARBALA JAANE WAALO (2)

4.JIS JAGAH KHAAYI AKBAR NE BARCHI,
KEHNA KUCH AISE GHAMKHWAAR HAIN JO
MAANGE SEHRA UTHAAKAR DUAYEIN
TUJHPE HEE YE JAWAANI FIDA HO
MUNTAZIR HAIN GADA WO TUMHAARE (2)
UNKO MEHMAAN JALDI BANANA
KARBALA JAANE WAALO, KARBALA JAANE WAALO (2)

5.TILLA-E-ZAINABI PE YE KEHNA
HAIN TUMHAARE BIRAADAR KI NAGRI
KOUN ROKEGA USKO BHALA PHIR
JISKO TUMNE IJAZATH HO DEDI
AYE SHAHEEDO’N KE WAARIS QUDAAYA (2)
JALD HAMKO BULAAWA DILAANA
KARBALA JAANE WAALO, KARBALA JAANE WAALO (2)

6.JAAYE’N QAIYYAM ME BIBIYO’N KE
JAAKE DENA HAMARI SALAMI
BIBIYO’N TUMNE DEKAR RIDAAYE’N
DEEN KI AABRU HAI BACHAALI
MUZTARIB HAIN JO APNE WATAN ME (2)
USNE PURSA YAHAN BHI KARANA
KARBALA JAANE WAALO, KARBALA JAANE WAALO (2)

7.JAAKE SHAHUDA KE MARQAD PE KEHNA
AYE MERE SHAAH KE JAAN NISAARO
RAD NA HOGI TUMHAARI SIFARISH
TUM JO KEHDOGE AYE SHEH KE PYAARO
JO NAHI AASAKE MERE MOLA (2)
UNKO JALDI HEE NAGRI DIKHAANA
KARBALA JAANE WAALO, KARBALA JAANE WAALO (2)

8.MOHSIN-E-DEE’N KE DAR SE TU ASIF
LAUT SAKTA NAHI KOI KHAALI
KAISE MUMKIN HAIN KE APNE HASRATH
SHEH KE DARBAAR ME NA HO POORI
GAR DUA YE SUNAA DEGA ZAAYER (2)
PHIR YAQEENI HAI APNA BHI JAANA
KARBALA JAANE WAALO, KARBALA JAANE WAALO (2)

KARBALA JAANE WAALO,
LECHALO HAME (2)