Namaaz-e-shab

- Shahid Baltistani (2004)


Namaaz-e-shab

Shab ki taariki mei, namaaz-e-shab ke baad, mera mazloom imaam, dua maang rahaa hai, mere maula tujhe waasta, is gharib ke, ashkon ka, sukuune dil ke liye kar, mujhe sakina ata

(Allah, Allah, Allah, Allah) x2

Namaze Shab mei koi baap maangta hai dua

Allah, Allah, Allah, Allah, Namaz-e-Shab mei koi baap maangta hai dua

  1. (Sukuune dil ke liye kar) x2, mujhe sakina ata
  2. Allah, Allah, Allah, Allah, Namaze Shab mei koi baap maangta hai dua

  3. Diya hai sabr to mujko, karaar bhi dede, mehek batul ki haider, ka pyaar bhi dede, mei baagh baagh rahun who, mujhe kahen baba
  4. Allah, Allah, Allah, Allah, Namaze Shab mei koi baap maangta hai dua

  5. Who mere sine pe soye, to dharkane khush ho, chale who ungli pakar kar, to aahaate khush ho, who maang paani to haathon ko mei karun kuza
  6. Allah, Allah, Allah, Allah, Namaze Shab mei koi baap maangta hai dua

  7. Ibadaton ka silaa tujse maangtaa hun mei, yehi to eik dua tujse maangta hun mei, charaagh-e-khaimaa bhujaawun, to who ho misle diya
  8. Allah, Allah, Allah, Allah, Namaze Shab mei koi baap maangta hai dua

  9. Sunaa hai beti janaaze ki hoti hai ronak, mujhe bhi chaahiye quraane, zindagi ka waraq, mile janaaze ki rounak, baraaye karbobala
  10. Allah, Allah, Allah, Allah, Namaze Shab mei koi baap maangta hai dua

  11. Khuda ne sunli duaae, hussein ibne ali, mili who beti jo bilkul, shabihe zahra thi, sukuun mil gaya sheh ko, sakina naam rakha
  12. Allah, Allah, Allah, Allah, Namaze Shab mei koi baap maangta hai dua

  13. Magar sukuun ye karbobala mei jaata rahaa, huwi yateem sakina bandha rasan me gala, hussein rote the ye kehte barsare neza
  14. Allah, Allah, Allah, Allah, Namaze Shab mei koi baap maangta hai dua

  15. Pase hussein sakina ne who sitam dekhe, tarap ke kehti thi bachi, padar ke laashe se, chupaalo khun bhare daaman mei mujko ai baba
  16. Allah, Allah, Allah, Allah, Namaze Shab mei koi baap maangta hai dua

  17. Sare hussein se aayi sadaa sare maidaan, namaaz-e-shab ki dua ka asar sakina jaan, karenga teri hifazat wo naam hai jiska
  18. Allah, Allah, Allah, Allah, Namaze Shab mei koi baap maangta hai dua

  19. "Rehan azmi" kehti thi karbala ki fazaa, hai baap beti ka ye imtehaan kaisa khuda, har eik zulm pe dono ke lab pe hai ye sada

Allah, Allah, Allah, Allah, Namaze Shab mei koi baap maangta hai dua