Kya dhoondh rahi hai
- Syed Ata Abbas (2017)
kya dhoond rahi hai jangal may sakina
abbas ke baazu ya baba ka seena
1. Manga tha shahe dee'n ne jise shab ki duao'n mein
hai aaj wo shehzadi maqtal ki fizao'n mein
naazo ki pali ka mushkil hua jeena
kya dhoond rahi....
2. Jalte hue daman ko rote hue takti hai
shabbir ki masooma is tarha sisakti hai
zakhmi hua haye shehzadi ka seena
kya dhoond rahi....
3. Wo dard hai kaano mein behta hai lahu taza
koi nahi kar sakta in zakhmo ka andaza
wo durro ka khana wo ashko ka peena
kya dhoond rahi....
4. Zalim se koi kehde ye naazo ki paali hai
aye waaye sitam ghum mein chadar ki sawali hai
ab kaise milegi ammu se hazeena
kya dhoond rahi....
5. Saqqa e sakina ko neend aa gayi darya par
zakhmo ka kafan pehne soye hai abhi sarwar
payegi na ye bachhi ab baba ka seena
kya dhoond rahi....
6. Zadd par hai mazalim ke ye phool si mazlooma
maqtal se kaha'n jaye shabbir ki masooma
toofa'n mein ghira hai sarwar ka safeena
kya dhoond rahi....
7. Ammu se koi kehde zinda'n mein tadapti hai
darwaza e zinda'n par is aas mein baithi hai
mai bhi kabhi dekhungi phir shehre madina
kya dhoond rahi....
8. Mar jaungi aye baba aaye na agar lene
ye ho hi nahi sakta aaye na khabar lene
baba se koi kehde roti hai hazeena
kya dhoond rahi....
9. Wo waqt e judayi ho halaat ki majboori
sarwar se sakina ki ab tak nahi gayi doori
maqtal mein anguthi hai zinda'n mein nageena
kya dhoond rahi....
10. Qismat pe zafar jiske likhi na thi azadi
taa maut ata haye bhooli nahi shehzadi
wo zakhmo mein marna, wo zakhmo mein jeena
kya dhoond rahi hai jangal may sakina