Jhule mein jaagte rahe
- Syed Ata Abbas (2017)
Jhule mein jaagte rahe asghar tamam raat..(2)
Roya kiya khud uska muqaddar tamaam raat
Jhule mein jaagte rahe asghar tamam raat..(2)
1. Teere sitam mujhe lage baba ko kuch na ho..(2)
shayad ye sochte rahe asghar tamaam raat
2. Zainab duaein karti rahi khairiyat rahe..(2)
aate rahe furat pe lashkar tamaam raat
3. Sughra watan mein hogi mere intezar mein
maqtal mein sochte rahe akbar tamaam raat
4. Aate rahe badan par sajakar qareebe shaah..(2)
zainab ke laal jang ke zewar tamaam raat
5. Majlis bapa ho ya ho shabe ghum bapa zafar
behta hai aasuo'n ka samandar tamaam raat