Bismillah hussain

- Syed Raza Abbas Zaidi (2017)


Allahu akbar, allahu akbar.. hussain hussain hussain..(2)
ba waqt asr karbala, raazi ba zuljanah(2)..(2)
pusht e zuljanah pe (fateh khaibar ka laal)..(2)
aayi sada e ghaib, zehra ke noore ayn
shehenshah e mashraqain
bismillah husssain....

Marhaba, marhaba...
shahe karbobala
aagaye hai ali
aur rasool e khuda
apni sawari rann ko badhao
tegh uthao ya hussain
fatah e lashkar, ho ibn e haider
sabko batao ya hussain
bismillah husssain....

Teghe yadullahi
hai shuja e arab
deene Mohammad ki
tu baqa ka sabab
shane imamat, shane qayadat
teri wirasat ya hussain
ye fauje aada, yaad karegi
teri shuja'at ya hussain
bismillah husssain....

Jab ke tera faras
rann ki janib chala
jaan bachane laga
lashkare ashqiya
rann ko ulatkar, maida'n palatkar
tune dikhaya ya hussain
khandaq o khaibar, badr ka manzar
yaad dilaya ya hussain
bismillah husssain....

Tegh teri chali
hashr barpa hua
ek hone laga
maimana maisara
tegho pe teghe, dhalo pe dhaale
lasho pe laashe yaa hussain
sehmi hui thi, bikhri hui thi
faujo ki saansein yaa hussain
bismillah husssain....

Shaah ladte rahe
shaah ladte rahe
jung ko dekhne
ambiya aagaye
pyaas ke aalam, mein ye ladai
tera jigar hai yaa hussain
tune bataya, ke shere dawar
ka tu pisar hai yaa hussain
bismillah husssain....

Daf'atan ruk gaye
daste shahe huda
aayi aflaak se
irja'ee ki sadaa
rabb tera tujhse, raazi hua hai
aao palat kar yaa hussain
sajda e akhir, ka waqt hai ye
mehbub e daawar yaa hussain
bismillah husssain....

Teer chalte the kahi se kahi naize hai chale
pusht e rahwaar se shabbir sare farsh gire
darr se khaime ke bahen dekh rahi thi dukhiya
aur sakina ki sadaa thi mere baba, baba
hashr barpa hua salman o raza
aayi jab fatima zehra ki sadaa
haye pyaasa hussain, hussain
haye pyaasa hussain, hussain
zakhmi zee'n zakhmi sarr
khaak par tera sarr
haye pyaasa hussain, hussain
haye pyaasa hussain, hussain