Hazrat ki sawari
- Syed Raza Abbas Zaidi (2017)
Jab aakhri rukhsat ko hussain aaye haram se
sab bibiya'n lipti shahe waala ke qadam se
hazrat ne kaha qat'e mohabbat karo humse
aur jeene ke nahi ali akbar ke alam se
kehkar yeh sukhan shaah ke aasu hue jaari
arey seene se lipat bhaai ke zainab ye pukari
aye sayyad e mazloom, behen hogayi waali
mai jaane nahi dene ki, hazrat ki sawari..(2)
1. Dukhiyari hu bhaiyya na meri aas ko todo
sadqe gayi pardes mein behna ko na chhodo
ab jaiyo jab jee'n se guzar jaaegi zainab..(2)
hazrat ne kamar bandhi to marr jayegi zainab
aye sayyad e mazloom, behen hogayi waali
mai jaane nahi dene ki, hazrat ki sawari..(2)
2. Amma ki ye takeed thi marr jaiyo zainab
jaye ye jaha'n saath chali jaiyo zainab
mai saath chalungi tu jaha'n jaega bhai..(2)
sharminda mujhe amma se karwaega bhai
aye sayyad e mazloom, behen hogayi waali
mai jaane nahi dene ki, hazrat ki sawari..(2)
3. Hazrat ki qasam mujhko do beto ka bhi ghum ho
duniya mein koi ho na ho bus aapka dumm ho
bachpan se kabhi sheher mein bichhdi na safar mein..(2)
so marne ko tum jao mai baithi rahu ghar mein
aye sayyad e mazloom, behen hogayi waali
mai jaane nahi dene ki, hazrat ki sawari..(2)
4. Aye bhai jaha'n jaoge mai saath chalungi
jungal mein rahu ghar ka kabhi naam na lungi
aada ki ladai se na darr jaegi zainab..(2)
katwa ke gala tegh se marr jaegi zainab
aye sayyad e mazloom, behen hogayi waali
mai jaane nahi dene ki, hazrat ki sawari..(2)
5. Rakh lijiyo jaate hue ek baat hamari
wo baali sakina jo tumhe jaan se pyaari
seene pe bus ek baar sula lijiyo isko..(2)
aadab yateemi ke sikha dijiyo isko
aye sayyad e mazloom, behen hogayi waali
mai jaane nahi dene ki, hazrat ki sawari..(2)
6. Allah ko saupa tumhe aye zainab o kulsoom
lag jao gale tumse bichhad ta hai ye mazloom
ab jaate hi khanjar se katega mera halqoom..(2)
hai sabr ka lamha ye tareeqa tumhe maloom
aye sayyad e mazloom, behen hogayi waali
mai jaane nahi dene ki, hazrat ki sawari..(2)
7. Abbas ka ghum puche koi dil se hamare
aage mere maare gaye do bhaanje pyaare
farmate the behen ali akbar guzar gaye..(2)
hum aise sakht jaan hai ab tak na marr gaye
aye sayyad e mazloom, behen hogayi waali
mai jaane nahi dene ki, hazrat ki sawari..(2)
8. Farzand nahi bhai bhatija nahi koi
thame jo rakaab aanke itna nahi koi
zehra ki sada aayi ye baa girya o zaari..(2)
aye laal mai thamungi rakaab aaj tumhari
aye sayyad e mazloom, behen hogayi waali
mai jaane nahi dene ki, hazrat ki sawari..(2)
9. Is halq ka aur tegh ka ehwaal ghazab hai
khamosh anees ab ke ye hangaam adab hai
aaqa se talab kar tujhe jis shay ki talab hai..(2)
ye rona rulana teri bakhshish ka sabab hai
aye sayyad e mazloom, behen hogayi waali
mai jaane nahi dene ki, hazrat ki sawari..(2)
hazrat ki sawari..(2)