Apne shabbir ko seene se lagalo amma

- Hussain Jari (2010)


Kheti ujad rahi thi shahe mashraqain ki
maida'n se aa rahi thi sada ye hussain ki
apne shabbir ko seene se laga lo amma
arey aao ghode se mai girta hu sambhalo amma
apne shabbir ko seene se laga lo amma..(2)
aao ghode se mai girta hu sambhalo amma
apne shabbir ko seene se laga lo amma..(2)

1. Amma tumne to bade naazo se paala hai hamein
lad khadate hue chalne mein sambhala hai hamein
aakhri baar kaleje se lagalo amma
apne shabbir ko seene se laga lo amma..(2)

2. Guthniyo chalta to tum saath mere chalti thi
apni aankho se mere talwo ko tum malti thi
choor zakhmo se hu mai mujhko sambhalo amma
apne shabbir ko seene se laga lo amma..(2)

3. Mai bohot tanha hu ab koi mujhe aas nahi
dekho akbar nahi qasim nahi abbas nahi
tum najaf se zara baba ko bulalo amma
apne shabbir ko seene se laga lo amma..(2)

4. Charkh ne aaj sitam kaisa ye dikhlaya
teen din hogaye pani bhi nahi paya hai
jaa balab pyaas se hu jaan bachalo amma
apne shabbir ko seene se laga lo amma..(2)

5. Aise hai zakhm e badan jaan chali jaati hai
khoon behta hai bohot neend si aajati hai
aake aaghosh mein ab mujhko sulalo amma
apne shabbir ko seene se laga lo amma..(2)

6. Sehme baccho ko musibat se nikale zainab
mujhpe girya kare ya khudko sambhale zainab
apni beti ka zara haath batalo amma
apne shabbir ko seene se laga lo amma..(2)

7. Hone wali hai yateema jo sakina amma
asr ke baad se ujdega madina amma
aao ab karbobala aake basalo amma
apne shabbir ko seene se laga lo amma..(2)

8. Kaise majid mai likhu dard o alam ka manzar
aye jari dasht mein gunji ye sada e sarwar
aao ghode se mai girta hu sambhalo amma
apne shabbir ko seene se laga lo amma..(2)