Bekas pardesi
- Shahid Baltistani (2004)
Bekas pardesi
Shaam jaate huwe, roke sajjad ne kahaa, Assalaam ai bekas baba, bekas bete ka salaam
(Assalaamun alayk, ya gharib huseina) x3
(Mei ik bekas pardesi hun, mei lout ke aaunga) x3
- (Mei saath phuphi ke ai baba) x2 Qur'aan sunaaunga
- Ho tumpe salaam mera, ai mere gharib padar, ik qaafela tha tera, ik mei bhi chala lekar (mei ibne hussein hun ay baba) x2 zaalim ko bataaunga
- Teri pyaari sakina bhi, mere saath safar mei hai, har gaam pe shahzaadi, bhai ki nazar mei hai, (mei dhuup mei reh kar ai baba) x2 use saaye mei laaunga
- Zainab ko bin chaadar, jab dekh na paaoge, haae noke sina se phir, quraan sunaaoge, (aawaaz mei teri ai baba) x2 aawaaz milaaunga
- Ik rassi mei baba, haay baara gale honge, sab chote bare baba, ik saath bandhe honge, (mehmil se girte bachon ko) x2 sine se lagaaunga
- Ham qaidi bane honge, darbaar sajaa hoga, haae tasht kalaa mei aur, sar tera rakha hoga, (us pal mei sakina ko baba) x2 kis tarha sambhaalunga
- Maangega sakina ko, ik shaami kanizi mei, marjaaunga mei baba, sunkar ye aseeri mei, (zahra ki shabi ko ay baba) x2 zaalim se bachaaunga
- Teri yaad mei roro kar, zindaa na basaayengi, phir mout sakina ki, ham sab ko rulaaegi, (mei us ki lahad bhi ay baba) x2 haathon se banaaunga
- Paaband-e-rasan yaawar, ye qaafela jab nikla, bimaar imaam mera, karta raha ye nauha, (hai teri qasam mujko baba) x2 tera naam bachaaunga
(Mei ik bekas pardesi hun, mei lout ke aaunga) x2