Ek tehreer uthaye
- Habib Hussain Party (2009)
Sayyada, Tahera..(3)
Ek tehreer uthaye, boli darbaar mein aakar zahra
logo mai binte nabi hu
Aisa badla hai madina, apna haq maang rahi hu
ghasib se.
kalma go kursi nashee'n hai, aur mai kabse khadi hu
Ek tehreer...
Pucha haider ne bata, jo bhi masjid mein hua
roke bus itna kaha...
kabhi deewaro ko thama, kabhi mai khaak pe baithi hu thak kar
kabhi beto ne sambhala, kabhi raste mein giri hu
Ek tehreer...
Wo to kamsin hai abhi, door hai shaam se bhi
sehna payegi kabhi
mujhse zainab ne ye pucha, kaha jaati ho batao
aye amma..
maine zainab se chupaya, ke mai darbaar chali hu
Ek tehreer...
Jab ye beto ne kaha, aise khamosh ho kyu
amma kuch to bolo
roke boli beto'n se, saath behno ka nibhana
har jaa par
nange sar kaise chalegi, bus yehi soch rahi hu
Ek tehreer...
Jitne dukh maine sahe, gar wo din par bhi pade
wo siyah raat bane
yehi dukh kam to nahi hai, kis qadar tanha madine mein hui hu
koi sunta hi nahi hai, ke mai kya bol rahi hu
Ek tehreer...
Turbat e binte nabi, dekhe akbar jo kabhi
mujhko lagta hai yehi
uska Mehdi(a.t.f.s.) kehta hai, muntaqim banke madine, zahra ka
jald aaunga logo, daure hazir ka Ali hu
Ek tehreer...
Aisa badla hai madina, apna haq maang rahi hu
ghasib se.
kalma go kursi nashee'n hai, aur mai kabse khadi hu
Ek tehreer...