Aye binte payambar
- Ali Safdar (2012)
Aye binte payambar, hasnain ki madar..(3)
aye binte payambar..(2), aye banu e mehsahar
Aye binte payambar, hasnain ki madar..(2)
Maara gaya mohsin tera (pehlu tha shikasta)..(2)
bus yu khuda ke deen se (toda gaya rishta)..(2)
tu sabr ka paikar, hasnain ki madar
Jis dum tera darwaza (jalaya gaya bibi)..(2)
aur arsh e kibriya ko (hilaya gaya bibi)..(2)
tha hashr ka manzar, hasnain ki madar
Mazlumiye haider pe (kabhi baba pe royi)..(2)
zainab ki beridai pe (shabbir pe royi)..(2)
hai karb ka daftar, hasnain ki madar
Mahdi tera rota raha (har daur mein zahra)..(2)
majlis hai teri aaj bhi (har shehr mein zahra)..(2)
matam tera ghar ghar, hasnain ki madar
Aye khaak e madina hume (zahra ka pata de)..(2)
ujde hue dayaar mein (wo qabr bata de)..(2)
zaer tera safdar, hasnain ki madar
Duniya ka musalmaan hai (is waqt pareshaan)..(2)
bahreni azadar ka (mushkil mein hai samaan)..(2)
mazloomo ki rahbar, hasnain ki madar
Atif ne likha, tumne (padha hai ali safdar)..(2)
nauha ye bana marham e (zakhme dil e muztar)..(2)
chal jaenge nashtar, hasnain ki madar
Aye binte payambar, hasnain ki madar
aye binte payambar..(2), aye banu e mehsahar
Aye binte payambar, hasnain ki madar