Shikasta pasliya'n hai

- Shabih Abbas Jafri (2017)


shikasta pasliya'n hai sayyeda ki
"Lahu roti hain aankhein murtaza ki"

1. Hai waqt e inteqal e izzatullah..
farishto'n ne falak per yeh nida ki

2. Chala ghar se janaza fatema ka..
khudayi kaanp uththii hai khuda ki

3. Hai mushkil ho gayi pehchan na bhi..
gham e zahra me surat mujtaba ki

4. Behen shabbir ki yu'n ro padhi hai..
nazar aati hai manzil karbala ki

5. Mere maula na kuch khane ko kehna..
ALI se murtajiz ne ilteja ki.

6. Khadija maryam o saara o hawwa..
saro'n se hai rida sabne juda ki

7. Musalmano ke sar hai khoon e zahra
dil-e-ahmed pe yeh kaisi  jafa ki

8. Ho nasl e badd pe lanat ta qayamat..
yeh fizza ne khuda se badd dua ki

9. Huye harmain bhi nauhakuna aur..
saf-e-matam saji hai ambiya ki.

10. WILAYAT ki wakalat karte karte..
chali duniya se beti mustafa ki

11. Nazar tarsegi iss farsh e aza ko..
shab-e-aakhir hai yeh fasl-e-aza ki

12. Jinhone sayyeda ka dar jalaya..
"SHABIH" lanat ho unn par qibriya ki