Seene ka dard
- Syed ali asghar abbas nasir (2016)
Baba Laienon nay mujhe ghair liya hai
Badan ko naizon sy chalni ker diya hai
Baba aik zalim nay toh barchi bhi yeh keh k nai nikali
K Saber e Hussain a.s us ko daikhna hai
Baba Madad ko aiye Baba Madad ko aiye....
Akbar sada detay hain,
Baba Madad chahiye...
Seenay ka dard , saha nahi jata..(2)
Martay huway Baba ko daikha nahi jata
Hussain a.s pukaray, Aena Ali Akbar..(2)
Mujh ko sada dy , kuch dukhai nahi deta
Girtay hain kabhi daien , kabhi baien ..(2)
Kohniyon chalaty huway jaiya nahi jata
Aah bhari awazoon ko, sun sun ker..(2)
Phuphion sy kaleeja sambhala nahi jata
Puhanch k lasha e Akbar a.s peh, Shabeer a.s bolay..(2)
Tujh ko aesi halat main , daikha nahi jata
Ghazi ki tarhan Akbar a.s bhi, ker gae tanha..(2)
NASIR Shabeer a.s ki ghurbat ko suniya nahi jata