Mabood qayamat ye

- Ameer Hassan Amir (2014)


HAYE ZAINAB HAYE ZAINAB
HAYE SAJJAD HAYE SAJJAD
HAYE HAYE ZAINAB HAYE HAYE ZAINAB
HAYE ZAINAB HAYE ZAINAB
HAYE SAJJAD HAYE SAJJAD
HAYE HAYE ZAINAB HAYE HAYE ZAINAB

MAABUD QAYAMAT YE MUJHPE NA GUZAR JAAYE * 2

GAIRAT SE KAHEE MERA SAJJAD NA MAR JAAYE

MAABUD QAYAMAT YE MUJHPE NA GUZAR JAAYE * 2

ABB ISKE SIVA MERA DUNIYA ME NAHI KOI
JIS TARHA MAI UJDEE HU UJDA NA KAHEE KOI
MARDO ME KOI EK TO PARDES SE GHAR JAAYE

MAABUD QAYAMAT YE MUJHPE NA GUZAR JAAYE * 2

QASIM NA RAHA MERA AKBAR NA RAHA MERA
HADD HO GAYEE JHULE ME ASGAR NA RAHA MERA
HAI KAUN YAHA MERA ABB KISPE NAZAR JAAYE

MAABUD QAYAMAT YE MUJHPE NA GUZAR JAAYE * 2

VO ZULMO SITAM MUJHPE HONE ABHI BAAKI HAI
VO MERE LIYE YA RABB MAR JAANE KO  KAAFI HAI
ABB DAR HAI KAHEE SAR SE CHAADAR NA UTAR JAAYE

MAABUD QAYAMAT YE MUJHPE NA GUZAR JAAYE * 2

HAATHO TO UTHAKAR YE ZAINAB NE KAHA HOGA
JIS SIMPT MERE MAALIK SOYA HAI MERA BHAIYYA
ZALIM HUME SAR NANGE LEKAR NA UDHAR JAAYE

MAABUD QAYAMAT YE MUJHPE NA GUZAR JAAYE * 2

TADPATA HAI RAH RAHKE YE RANJO MAHEN MUJHKO
KIN AANKHO SE DEKHEGA PAABANDE RASAN MUJHKO
AISA NA HO IS GHAM SE BEEMAR BIKHAR JAAYE

MAABUD QAYAMAT YE MUJHPE NA GUZAR JAAYE * 2

KUCH DER HI GUZRI HAI KHOLI HAI ABHI AANKHE
GHAM ME SHAHE VAALA KE ROYEE HAI ABHI AANKHE
DAR HAI KE NA MAQTAL ME YE SHER BIPHAR JAAYE

MAABUD QAYAMAT YE MUJHPE NA GUZAR JAAYE * 2

KIS TARHA BALAE BHI BEEMAR KI ABB LOO MAI
ABBAS KE MARNE KI KIS DIL SE KHABAR DOO MAI
AUR SAAMNE KIS MOO SE YE TASHNA JIGAR JAAYE

MAABUD QAYAMAT YE MUJHPE NA GUZAR JAAYE * 2

HAI DOOR ABHI MANZIL AUR DOOR THIKANA HAI
BAZAR ME JAANA HAI DARBAR ME JAANA HAI
ZALIM HUME ABB LEKAR KYA JAANE KIDHAR JAAYE

MAABUD QAYAMAT YE MUJHPE NA GUZAR JAAYE * 2

AAMIR NE KHUDA JAANE KIS DIL SE PADHE ASIF
ZEHRA KI DULAARI NE VO ZULM SAHE ASIF
TAFSEER SE GARR KOI SUNLE TO VO MAR JAAYE

MAABUD QAYAMAT YE MUJHPE NA GUZAR JAAYE * 2

MUJHPE NA GUZAR JAAYE
MUJHPE NA GUZAR JAAYE

HAAYE ZAINAB