Hussain jeet gaye

- Mukhtar Hussain (2009)


Sadaa ye deta hai sajda, hussain jeet gaye

Bachaa ke deen nabi ka, hussain jeet gaye, hussain jeet gaye

Sadaa......

Ali ke lehje mei khutbaaat toh suna ne do
Zaraa si der hai, Zainab koi shaam aane do
Yazeed khud ye kahega,

Hussain jeet gaye

Agar hussain se itni hi dushmani hai teri
Zubaan kaat de, duniya ke har mo-azzin ki
Azaa ke lab pe hai naara

Hussain jeet gaye

Qareeb khaaanaye parwardigar jaa toh sahi
Nazar se bughz ke parde zara utha toh sahi
Likha hai barsar-e kaaba

Hussain jeet gaye

Hai aqse faatah-e khaiber ye be-zabaan nahi
Ay hurmula tujhe malum iski shaan nahi
Abhi kahega ye bacha

Ameer-e shaam kaha ab teri hukumat hai
Mere hussain ke qadmo pe laashe baiyy-at hai
Utha le aake janaaza

Hussain jeet gaye

Azaa mei lehjaaye Akbar ka iss qadar tha asar
Abhi toh jang ka aaghaaz bhi nahi hai magar
Zameer-e hurr ka hia daawa

Hussain jeet gaye

Sinaa ki nok pe jaise hi sar buland huwa
Ajeeb shaan se maqtal mei Mustufa ne kaha
Woh dekho fatima zahra

Hussain jeet gaye

Bighaada kya hai takallum humaara fatwo ne
Zamaana goonj raha hai sadaa-e maatam se
Galli Galli mei hai charcha

Hussain jeet gaye

Kiya jo nehr pe qabzaa ali ke dilbur ne
Salaam pyaas ko badkar kiya samandar ne
Pukaarne laga dariya

Hussain jeet gaye

Woh roshni hai udu ke dimaag roshan hai.
Sar-e sina bhi bahattar chirag roshan hai
Bata raha hai sawera

Hussain jeet gaye
 
Hai aqse faatah-e khaiber ye be-zabaan nahi
Ay hurmula tujhe malum iski shaan nahi
Abhi kahega ye bacha

Hussain jeet gaye

Ali ki tarjuma sajjad ki zabaan huwi
Har ek simt se be waqt jab amaan huwi
Pukaari saniye Zehra
Hussain jeet gaye