Muntazar beythi

- Shahid Baltistani (2004)


Muntazar beythi

(Ai mere babajaan) x2

Baba ko dhund kar roti hai sughra, (shamme jalaati hai) x2

(Shamme jalaaye) x4

(Muntazir beti teri shamme jalaaye baba) x2

  1. (Shaam hote hi jisse) x2 daste hai saaye baba
  2. (Muntazir beti teri shamme jalaaye baba) x2

  3. Tere haathon ke nawaalon mei shifa paati thi, tere kaandhe pe rakhu sar to sukoon paati thi, (chor kar aise gaye) x2 kuch nahi bhaaye baba
  4. (Muntazir beti teri shamme jalaaye baba) x2

  5. Maine khwaabon mei faqat ranjo alam dekhe hai, larkharaate huwe reyti par kadam dekhe hai, (jaane kya khwaab mujhe) x2 raaz bataaye baba
  6. (Muntazir beti teri shamme jalaaye baba) x2

  7. Eid guzri hai meri kaisi bataaun kaise, door hun tujse bhala khushiyan manaun kaise, (peyrehen haae siyaha) x2 maine banaye baba
  8. (Muntazir beti teri shamme jalaaye baba) x2

  9. Mere baba jo madine ko kabhi aawoge, saath chalte huwe in sabke mujhe paaoge, (aansuonse jo diye) x2 maine jalaaye baba
  10. (Muntazir beti teri shamme jalaaye baba) x2

  11. Tere hujre mei teri khushbu nahi paati hun, dhund ne nana ke roze par chali jaati hun, (tere hone ka yaqin) x2 sughra na paae baba
  12. (Muntazir beti teri shamme jalaaye baba) x2

  13. Mei jawaani mei zaifi ki taraf jaati hun, chaand ki chaandni baalon mei haaye paati hun, (aisa lagta hai ke din) x2 marne ke aaye baba
  14. (Muntazir beti teri shamme jalaaye baba) x2

  15. Kyun chupaaya meri dadi ne ayaa hota hai, surkh mitti se yatimi ka ghumaa hota hai, (dadi Salma se kaho) x2 ab na chupaaye baba
  16. (Muntazir beti teri shamme jalaaye baba) x2

  17. Ik kone mei hai sehre ki lari ukhri huwi, aur roze pe hai nana ke shamma bujti huwi, (saare "armaan" jale) x2 tum nahi aaye baba

(Shamme jalaaye) x2 Sughra ne kaise soch liya, (baba na aayenge) x2