Mai aane wala hu'n
- Mir Hasan Mir (2007)
Uthi hai noor ki noori ghataein ghaibat se
tamaam ehle azaa lau lagaye ghaibat se
sune baghaur to mehsoos aisa hota hai
ke aa rahi hai musalsal sadaein ghaibat se
azaa ki deep jalao mai aane wala hu'n
mai aane wala hu'n
gham e hussain manao..(2)
mai aane wala hu'n
azaa ki deep jalao mai aane wala hu'n
Mai jaanta hu ke niyyat mein ek hai dono
namazi aur azadaar ek hai dono
bas ab ye farq mitao..(2)
mai aane wala hu'n
Rasool pesh karenge waha'n qaseeda naya
wahee'n pe hoga bapa jashn mere dada ka
qadam najaf ko badhao..(2)
mai aane wala hu'n
Tumhare dil mein hamari wilaa makeen nahi
areeza likhte ho lekin tumhe yaqeen nahi
yaqeen karlo ye jaao..(2)
mai aane wala hu'n
Furu e deen se hargiz karo na bezaari
haram mein karke namaz o azaa ki tayyari
azaa ye sabko sunao..(2)
mai aane wala hu'n
Na hone paye kabhi dil se kam hussain ka ghum
hai meri fauj ka parcham mere chacha ka alam
alam gharo'n mein sajao..(2)
mai aane wala hu'n
Mai apna dard karu kis tarha tum pe ayaa'n
meri nigaaho'n mein phirti hai har shaheed ki maa
use bhi jaake batao..(2)
mai aane wala hu'n
Ye mehfile ye aza zindagi ka rizq hai sab
ye ayn e ishq hai zinda ho tum inhi ke sabab
na inse maal kamao..(2)
mai aane wala hu'n
Suni hai meer takallum ne karbala se sadaa
hai ikhtetaam ke nazdeek ghaibat e kubra
haram pe nazre jamao..(2)
mai aane wala hu'n