Itni bhar jaye in aankho'n mein ziyaye abbas
- Mir Hasan Mir (2007)
Itni bhar jaye in aankho'n mein ziyaae abbas
mujhko koi na nazar aaye siwaye abbas
Mere alfaaz mein kyu ho na rawani ka kamaal..(2)
Maine daryao'n se seekhi hai sana e abbas
Karbala ek hi misre mein suna sakta hu'n..(2)
Azm e zainab, dil e shabbir, wafa e abbas
Mere ash'aar bhala khuld mein maqbool na ho..(2)
Itni kamzor nahi hoti sanaa e abbas
Maine is husn e shabahat pe bohot ghaur kiya
sochta hu'n ke ali likh du bajaa e abbas
Akhri saans jo tauba ke liye hoti hai..(3)
Maine wo saans bhi rakhli hai bara e abbas
Yu karo naam e sakina zara lekar dekho..(2)
ghair mumkin hai bulane pe na aaye abbas
Zaat ko chhod ke rakh marziye maula pe nazar
haa Musaddiq yehi hoti hai wilaye abbas