Aliyun waliyullah
- Mir Hasan Mir (2006)
jibreel ka naara hai...aliyun waliyullah..(2)
nabiyo ne pukara hai...aliyun waliyullah(3)
Gar tum na samajh pao to khud (nooh se pucho)..(2)
toofa mein kanara hai...aliyun waliyullah
Chhedoge to mahaul mein (phailenge ujale)..(2)
noorani tarana hai...aliyun waliyullah
Maidan e ghadeer aaya to (bole ye payambar)..(2)
thehro.. thehro.. thehro... mujhe kehna hai
...aliyun waliyullah
Gar isse phire tum to (namazein bhi hai baatil)..(2)
eeman ka daawa hai...aliyun waliyullah
Hum murda zameero se (mukhatib hi nahi hai)..(2)
Wo bole jo zinda hai ...aliyun waliyullah
Darwaza e jannat ki taraf (jaana na waez)..(2)
darwaze pe likkha hai...aliyun waliyullah
Jhule mein mujhe maa ne meri (loriya dekar)..(2)
bachpan se sikhaya hai...aliyun waliyullah
Qur'an ki aayat ho ya (nehje balagha)..(2)
in sab ka khulasa hai...aliyun waliyullah
Hamid kisi mushkil ko (samajhta nahi mushkil)..(2)
jab iska wazeefa hai...aliyun waliyullah
jibreel ka naara hai...aliyun waliyullah..(2)
nabiyo ne pukara hai...aliyun waliyullah(3)