Logo mai sakina hu

- Hasnain Mehdi (2016)


Logo mai sakina hu'n..(2)
sakina hu sakina

Shabbir ki dukhtar hu mai poti hu ali ki
jis rukh se bhi dekho hu mai tasweer jali ki
is tarha pali hu mai nigaho mein wali ki
jis tarha se taqdeer ho gulshan mein kali ki
haider ki angoothi ka..(2)
nageena hu nageena

sakina hu sakina

Sab heech hai irfan ke mauzu mere aage
phailaye hai islam ne baazu mere aage
kya bechti hai khuld ki khushbu mere aage
abbas bhi kham karte hai zaanu  mere aage
bistar hai mera hazrate..(2)
shabbir ka seena

sakina hu sakina

Kamsin hu mai dikhne mein par adam se badi hu
adam bhi  bhala kya hai do aalam se badi hu
tum samjho to mai sura e maryam se badi hu
jis dum mein tha dum sheh ka mai us dum se badi hu
asghar ka muqaddar..(2)
mere maathe ka paseena

sakina hu sakina

Thokar se muqaddar ka muqaddar mai jagaa du
hoore bhi tarasti hai mai qadmo mein jagah du
shaer abu talib ka jise chahu bana du
masroof e azaa jo hai unhe kyu na dua du
qur'aan meri madha kare..(2)
zeena ba zeena

sakina hu sakina

Yazdaan ke lab ho to baya'n ho ye fasana
masjood e malaek hai mera paak gharana
mai hi to hu wehdat ka wo mastoor khazana
aajiz hai samajhne se jise saara zamana
sab zere asar mere..(2)
najaf ho ya madina

sakina hu sakina

Alfaz e manajaat bhi maqrooz hai mere
kaunain ke haalaat bhi maqrooz hai mere
ye arzo samawaat bhi maqrooz hai mere
hadd ye hai ke saadat bhi maqrooz hoi mere
meri na ijazat ho to...(2)
dushwaar hai jeena

sakina hu sakina

Jis din mai bani zeenat e dast e shahe waala
baba ne bhi ek lamhe ko dil apna sambhala
mud kar kaha akbar se jaa zainab ko bulala
tha wird e zabaa'n bibi ke ya rabbeyal aala
milkar rakha phir sab ne..(2)
mera naam sakina

sakina hu sakina

Hargiz na samajhna mai koi farsh nashee'n hu
ye bhi na samajhna ke koi arsh nashee'n hu
akkar e imamat ki azal se mai amee' hu
jis ghar mein pali fatema us ghar ki makee' hu
nabeena chala aaye..(2)
use kardu mai beena

sakina hu sakina
Logo mai sakina hu'n
sakina hu sakina