Kuch aise khaak pe

- Imran Datoo (2016)


Kuch aise khaak pe, sooi, hui sakina hai
Ke jaise rehl pe (x2) quran gham ka rakha hai

1. Sakina lawt ke, ab ghar, kabhi na jaayegi (x2)
Ye qaid khaana hi (x2) uske liye madina hai

2. Idhar hai maatami, sab bibiyaa(n), janaaze par (x2)
Udhar Furaat pe (x2) Abbas bhi tadapta hai

3. Uthaake laash, sakina ki, socha aabid ne (x2)
Ke istarha bhi (x2) risalat ka ajr milta hai

4. Jise sulaate, the shabbir, apne sine par (x2)
Pidar ki laadli (x2) zindaa(n) mein aaj tanha hai

5. Sakina Asghar-o, shabbir, saare maare gaye (x2)
Rabab ke liye (x2) Jeene ko ab raha kya hai

6. Ye chauda sadiyaa(n), guzarne ke, baad bhi Sajjad (x2)
Har ek zakhm (x2) Sakina ka bhi taaza hai