Be rida saidaniya hai

- Imran Datoo (2016)


Be rida saydaniya hai, shaam hai Sajjad hai
Aal ahmad ki hui (x2) minnat kasha imdad hai

1. Mustafa ki aal ne jab, qaid ki sakhti sahi (x2)
Tab kahi(n) jaakar hua (x2) Deen-e khuda azaad hai

2. Naatiq-e quran ki aankho(n) se hai jaari lahu (x2)
Kawtharo tatheer ke (x2) hoto(n) pe bhi faryaad hai

3. Phool saare aagaye hai, barsare noke sina (x2)
Haaye Zahra ka chaman (x2) kaise huwa barbaad hai

4. Khatm na hoga sitam bazaar ye guzrega jab (x2)
Soorat-e darbaar mein (x2) baaqi nayi uftaad hai

5. Dekh kar zakhme badan ko gin na paayega koi (x2)
Qalb pe beemar ke (x2) zakhmo(n) ke jo tadaar hai

6. Gham yahi aabid ke dil pe, hashr ki maanind hai (x2)
Majmaa-e aghyaar hai (x2) aur Zainab-e nashaad hai

7.    Ruk gayi salmaan aur Imran saari sakhtiya(n) (x2)
Chashme aabid mein magar (x2) tehreer wo rudad hai