Neher se aati hai ye sada
- Safdar Abbas (2008)
Fauje alqama, kar rahi hai bain
lut gayi zainab lut gaye hussain
binte shahe la fata kar rahi hai marsiya
haye alamadar
neher se aati hai ye sada
qatl alamdar ho gaya
Pyaase the sab nauha gar thaam li sheh ne kamar..(2)
zainab e dilgeer ne kaha
qatl alamdar ho gaya
1. Kitna wafadar tha sab ka madad gaar tha
saaya e deedar tha, fauj ka salaar tha
hogaye lachar hum kehte hai shahe umam..(2)
ro rahi hai saath mein wafa
qatl alamdar ho gaya
2. Dukhtar e shahe umam kaise sahe ab ye ghum
khaak nashee'n hai haram dekhke girta alam
karne lagi marsiya paani nahi aayega..(2)
ek naya mujhko ghum mila
qatl alamdar ho gaya
3. Laasha jawa'n bhai ka kaise uthega bhala
bole shahe karbala aaiye shere khuda
mera sahara bano koi dilasa to do..(2)
koi madadgaar na raha
qatl alamdar ho gaya
4. Haaye ye lachargi pyaasi sakina rahi
tooti ummeede meri aur kamar kham hui
mashke sakina chidi beh gaya paani sabhi..(2)
kohe alam uspe jab gira
qatl alamdar ho gaya
5. Sunte ho akbar sada rote hai shahe huda
fizza ne rokar kaha aao sambhalo zara
chuta watan ghar luta pyaase rahe gham na tha..(2)
ab hai masaeb ki intehaa..
qatl alamdar ho gaya
6. Ek alamdaar ke jaane se ye ghum mile
tashna dahan ro diye haath se kuze gire
hum ne to nauhe kiye ehle sitam khush hue..(2)
shimr ne jab fauj se kaha
qatl alamdar ho gaya
7. Dasht mein shabbir par zulm hue is qadar
safdar o mazhar magar tha wo ali ka pisar
sabr bhi karta raha, shukr bhi karta raha..(2)
zabt ye ghum ho nahi saka
qatl alamdar ho gaya