Almadad maula raza

- Shahid Baltistani (2004)


Almadad maula raza

(Al Madad, Maula Raza) x2 (Maula Raza) x3

(Al Madad, Maula Raza) x4

  1. Nana nabi dada ali dadi teri khairun nisaa
  2. (Al Madad, Maula Raza) x4

  3. Tu hai masiha e- jahaan, shaahe khurasaan hai laqab, yu har farishta roz par, aataa hai tere ba adab, haaN rad nahi hoti tere, roze pe koi bhi dua
  4. Nana nabi dada ali dadi teri khairun nisaa (Al Madad, Maula Raza) x2

  5. Binaai bhi deta hai tu, goyaai bhi deta hai tu, maange agar tujse koi, daanaai bhi deta hai tu, tu bhi to baabe ilm hai, tu bhi to hai mushkil kushaa
  6. Nana nabi dada ali dadi teri khairun nisaa (Al Madad, Maula Raza) x2

  7. Hai zaamine aahu bhi tu, gul bhi hai tu khushbu bhi tu, hai ponchta har aankh se, girte huwe aansu bhi tu, teri ataaye dekh kar, dushman ko bhi kehnaa paraa
  8. Nana nabi dada ali dadi teri khairun nisaa (Al Madad, Maula Raza) x2

  9. Teri karaamaate nazar, shab ho ke ho waqte sahar, kehta hai har zaair tera, roze ki jaali chum kar, mash-had muqaddas ho gaya, tune jo aakar di azaan
  10. Nana nabi dada ali dadi teri khairun nisaa (Al Madad, Maula Raza) x2

  11. Tere hi dastar-khaan par, hota hai jannat ka ghumaan, jinno mallak lete hai sab, tere hi dar se rotiyaan, maula tera makruuz hai, har ik gadaao baadshaa
  12. Nana nabi dada ali dadi teri khairun nisaa (Al Madad, Maula Raza) x2

  13. Roze se tere duur hai, ham to bohot majbuur hai, aankhon se aansu hai rawaan, dil bhi ghamon se chur hai, tujse kahenge haale dil, izne ziyarat kar ataa
  14. Nana nabi dada ali dadi teri khairun nisaa (Al Madad, Maula Raza) x2

  15. Aal-e-azaa ke haal par, dukhta to hoga dil tera, ishke ghame shabbir mei, maare gaye jo bekhata, hai munison yawar tu bhi, ibne shahide karbala
  16. Nana nabi dada ali dadi teri khairun nisaa (Al Madad, Maula Raza) x2

  17. "Rehan" mujko hai yaqin, maula raza ki zaat se, ye nokri shabbir ki, jaaegi ab na haath se, nauhe likhunga mei sada, dete rahenge wo silaa

Nana nabi dada ali dadi teri khairun nisaa (Al Madad, Maula Raza) x8