Mai kis tarha se batau ke kya ghadeer se hai

- Shahid Baltistani (2013)


Mai kis tarha se batau ke kya ghadeer se hai
khuda ka deen to kya khud khuda ghadeer se hai

Aur azaa'n mein naam e ali sunke jo machalte ho
tumhara zakhm abhi tak hara ghadeer se hai

Bataau ek hi misre mein kya munafiq hai
wo kalma go hai magar bhaagta ghadeer se hai

Laga raha hai jo fatwe hussain ke ghum par
qasam khuda ki use mas'ala ghadeer se hai

Tu jisko dhundh raha hai aye shaikh masjid mein
bahisht jaane ka wo raasta ghadeer se hai

Ali ke lehje mein bola jo barsare me'raj
nabi ke lehje mein wo bolta ghadeer se hai