Aina mahdi e zaman
- Shuja rizvi (2017)
Ya Mahdi, Ya Mahdi, Ya Mahdi..(2)
Aina Mahdi e zama'n, aina maula e jaha'n..(2)
1. Mujhme taqwa wo nahi kaisr Ammar banu
mujhme taqat wo nahi mai bhi Mukhtar banu
Pisar e Fatema, na mai meesum hi bana
Karbala mein jo bane aisa kirdaar banu
Maula,
Aaj tak aapki nusrat mein kiya kuch bhi nahi
Mere daaman mein gunaho ke siwa kuch bhi nahi
Aajaye naa yabna nabi..
Aajaye naa yabna ali..
Aina Mahdi e zama'n, aina maula e jaha'n..(2)
2. Kab hai Buzar ki tarha, kab hai Qambar ka hasham
Garche maujood nahi hum mein Salmaan ka dam
Pisar e Fatema, dil mein hai shaah ka ghum
Aapke jadd ki qasam haan azadaar hai hum
Maula,
Aap to aaj bhi mazloom e bila nasir hai
Maula hum aapki nusrat ke liye hazir hai
Aajaye naa yabna nabi..
Aajaye naa yabna ali..
Aina Mahdi e zama'n, aina maula e jaha'n..(2)
3. Teri nusrat mein rahe mera dil meri zabaa'n
Maalo shohrat bhi fida, ye zamee'n aur makaa'n
Pisar e Fatema, jis pe qurbaan ho maa
Tu ishara to kare tujhpe qurbaan ho jaa'n
Maula,
Baare sar gosh pe lekar mai kidhar jaunga
Maula gar aap na aaye to mai marr jaunga
Aajaye naa yabna nabi..
Aajaye naa yabna ali..
Aina Mahdi e zama'n, aina maula e jaha'n..(2)
4. Aakhri saas talak aapke saath hai hum
Aapko dekha nahi phir bhi hai ek hi ghum
Pisar e Fatema, sahib e lauh o qalam
Mai hu majboor magar jaane maula ki qasam
Maula,
Kuch nahi chahiye maula mujhe duniya ki sanad
Ye meri aakhri hichki hai meri aakhri hadd
Aajaye naa yabna nabi..
Aajaye naa yabna ali..
Aina Mahdi e zama'n, aina maula e jaha'n..(2)
5. Yu biche farshe azaa, inke qirdaar bane
Maaein zainab ki tarah dil ko mazboot kare
Pisar e Fatema, hum bhi zalim se lade
Khatm ghaibat ho agar, sue kaaba bhi chale
Maula,
Ye tamanna hai ke ye jaam shahadat ka piye
Maao'n ne paala hai bacho ko isi din ke liye
Aajaye naa yabna nabi..
Aajaye naa yabna ali..
Aina Mahdi e zama'n, aina maula e jaha'n..(2)
6. Muntazir rehte hai hum, hum hai maula ke ghulam
Naukri humko mile, hum kare aapke kaam
Pisar e Fatema, aap par mera salaam
Dete taane hai adu, hai kaha'n tera imam
Maula,
Mehr jab parda e ghaibat se nikal aayega
Bachke takfiri koi bhi ye kidhar jayega
Aajaye naa yabna nabi..
Aajaye naa yabna ali..
Aina Mahdi e zama'n, aina maula e jaha'n..(2)
7. Chhod kar ilm o amal hum p aaya hai zawaal
Jhooth, gheebat hai ghina, raks iblees ka jaal
Pisar e Fatema, hum nahi rakhte khayal
Kyu kamate hi nahi log ye rizq e halaal
Maula,
Zindagi karb e musalsal se nikal jayegi
Aap aajaye to duniya ye badal jayegi
Aajaye naa yabna nabi..
Aajaye naa yabna ali..
Aina Mahdi e zama'n, aina maula e jaha'n..(2)
8. Ashk aankho'n mekn jame, aur paseena hai kahi'n
Mai yaha'n jaan ba lab, mere maula hai kahi'n
Pisar e Fatema, malik e arsh o zamee'n
Uska chehra bhi likha jisko dekha bhi nahi
Maula,
Mai raha aaj talak isliye zinda maula
Ek baar aapka bus dekhlu chehra maula
Aajaye naa yabna nabi..
Aajaye naa yabna ali..
Aina Mahdi e zama'n, aina maula e jaha'n..(2)
9. Pyaas phir bhi na bujhi jab chala hai khanjar
Maa ki aghosh liye aur tadapta hai pisar
Pisar e Fatema, kat gaya shaah ka sar
Tukde tukde hai badan tukde tukde hai jigar
Maula,
Qasim o akbar o shabbir ka pursa lene
Aaiye shaam ke darbaar ka badla lene
Aajaye naa yabna nabi..
Aajaye naa yabna ali..
Aina Mahdi e zama'n, aina maula e jaha'n..(2)
10. Ek bachi ke liye hai tamacho ki saza
Chhin gayi baaliya bhi, khoon aankho'n se baha
Pisar e Fatema, maayein hai mehwe dua
Shaam hai girya kuna, hai sakina tanha
Maula,
Aaj bhi qaid me hai shahe madina ke liye
Maula aap aajaiye bus aap sakina ke liye
Aajaye naa yabna nabi..
Aajaye naa yabna ali..
Aina Mahdi e zama'n, aina maula e jaha'n..(2)
11. Jaane dil jaane jigar koi dhundhe kaise
Jungalo mei bhi phira, mujhko maula na mile
Pisar e Fatema, hai kaha maula mere
Itna rota mai raha khushk aasu bhi hue
Maula,
Neend aati hai na mujhe aur na mai so sakta hu
Band darwaze ko hasrat se qamar takta hu
Aajaye naa yabna nabi..
Aajaye naa yabna ali..
Aina Mahdi e zama'n, aina maula e jaha'n..(2)