Khuda khair kare
- Irfan Hussain (Bangalore) (2013)
Khuda khair kare..(2)
Haaye sajjad chale shaam
Khuda khair kare
Gale mein tauq hai aur bediya'n hai payro mein
diya hai shaam ke logo ne ye inaam
Khuda khair kare
1. Wo jiske sar se rida bhi kabhi sarak jaye
to maare sharm ke suraj wahi palat jaaye
sharabiyo se hui hai wo hum kalaam
Khuda khair kare
2. Tamaam shehro ke deewar o darr sajaye hai
khadi hai aurte haatho mein sang uthaye hai
kiya hai jashn e fatha ka ehtemaam
Khuda khair kare
3. Banake qaidi aulad e ali ko laaye hai
ye shor barpa hai aaye hai, baaghi aaye hai
macha hai shaam ke logo mein kohraam
Khuda khair kare
4. Bazaar e shaam mein zainab jo hai berida hai khadi
bimaar sayyad e abid pe kya kathin hai ghadi
khada bazaar mein har su hai majma e aam
Khuda khair kare
5. Janab e ghaazi ka sir saandh pe tadapta tha
bimaar qaidi ke aankho'n se khoo barasta tha
laeen leta tha zainab ka jab bhi naam
Khuda khair kare
Gale mein tauq hai aur bediya'n hai payro mein
diya hai shaam ke logo ne ye inaam
Khuda khair kare
Haaye sajjad chale shaam
Khuda khair kare