Ghadeer e khum ka suraj

- Mir Hasan Mir (2016)


Ghadeer e khum ka suraj kaam kya purkaar karta hai
kisi ko noor karta hai kisi ko naar karta hai

Wilayat se ali ki aaj jo inkaar karta hai
wo apne badnasab hone ka khud iqraar karta hai

Nishaa'n deewaar ka ye aaj bhi iqraar karta hai
kaaba toot kar maula ali se pyaar karta hai

Hasee meesam ke hotho'n par dame aakhir hai kyu maula
mujhe lagta hai jaise aapka deedar karta hai

Yehi pehchaan hai logo zamane mein muqassir ki
zabaa'n iqraar karti hai, amal inkaar karta hai

Nuseri se bada mushrik nahi dekha koi maine
jo apne hi khuda ki baat ka inkaar karta hai

Nishaa'n deewaar ka ye aaj bhi iqraar karta hai
ke kaaba toot kar maula ali se pyaar karta hai