Khamosh nigaaho mein
- Abbas Haider Lalji (2016)
Haye baba ali..(4)
Khamosh nigaho'n mein apne baba se ye pucha zainab ne..(2)
Wo kaunsa dukh hai duniya mein..(2)
jo dukh na dekha zainab ne, dekha zainab ne
Khamosh nigaho'n mein apne baba se ye pucha zainab ne..(2)
1. Jab sham e ghareeba mein jalte khaimo ke sholo ko dekha
phir sue najaf karke faqat..(2)
baba ko pukara zainab ne, pukara zainab ne
2. Bazaar ki bheed mei chalte hue jab yaad aayi apni chadar
phir sar ko jhuka kar der talak..(2)
abbas ko socha zainab ne, socha zainab ne
3. Darbaar mein zalim ne har ek bibi ka naam pukara jab
kulsoom ne dekha zainab ko..(2)
kulsoom ko dekha zainab ne, dekha zainab ne
4. Zindaan mein pehli majlis thi shabbir ki yaad mein matam tha
sajjad ne ghum ka haal kaha..(2)
aur nauha sunaya zainab ne, sunaya zainab ne
5. Akbar ka ghum shabbir ka ghum bhuli to nahi hogi lekin
socho ke aun o mohammad ko..(2)
kis tarha bhulaya zainab ne, bhulaya zainab ne
6. Jis bacchi ko shabbir sada seene pe sulaya karte the
zindaan ki khaak pe kis tarha..(2)
phir usko sulaya zainab ne, sulaya zainab ne
7. Meri behno bhool nahi jaana zainab ne jo paighaam diya
baalo par khaak gira kar bhi..(2)
parde ko bachaya zainab ne, bachaya zainab ne
8. Abbas ke lehje ki nemat, hashim ke lafzo ki izzat
ye nauha padhaya zainab ne..(2)
ye nauha likhaya zainab ne, likhaya zainab ne
Khamosh nigaho'n mein apne baba se ye pucha zainab ne
Haye baba ali..(4)