Aye zayero'n qadam
- Mir Rehan Abbas(Bangalore) (2018)
Aye zaayero’n qadam ko rakho dekh bhaal kar
Kis kis ka qoo’n bahaa hai najaane kaha kaha
1. Halqe sagheer teer se jab zaqmi hogayi
Sehraaye karbala me bahee qoon ki nadee
Maiyath liye ussain bhi tadpe hain kis qadar
Kis kis ka qoo’n baha hai najaane kaha kaha
2. Ek naujawaan tha jiska jigar chalni hogaya
Jitna badan me qoon tha akbar ka beh gaya
Thi shakle Mustafa ke lahoo se zameen tar
Kis kis ka qoo’n baha hai najaane kaha kaha
3. Maiyath jawaa’n ki liye jab chale hussain
Phir naujawaa’n ki laash liye gir pade hussain
Seene me phatna jaaye kaheen shah ka jigar
Kis kis ka qoo’n baha hai najaane kaha kaha
4. Farwa eke k chand ko aisa grehan laga
Maqtal me jiske jism ka tukda hai jaa ba jaa
Ghalta hai khaako qoon se shabbar tera pisar
Kis kis ka qoo’n baha hai najaane kaha kaha
5. Reti pe hai qoo’n hai ab bhi sayeed-o-zuhair ka
Hain jaa ba jaa habeeb ka hur ka burair ka
Har jism tha zameen pe naizon pe sab ke sar
Kis kis ka qoo’n baha hai najaane kaha kaha
6. Is sar zamee’n pe qoon hai mohammed ke aun ke
Is sar pe zamee’n pe qoon ke qatre hain joun ke
Arze bala me ahle falak bole aan kar
Kis kis ka qoo’n baha hai najaane kaha kaha
7. Ashoor ko hussain ka chalna muhaal tha
Maqtal tha waqte asr tha zehra ka laal tha
Roya kiye hussain yahi soch soch kar
Kis kis ka qoo’n baha hai najaane kaha kaha
8. Jab sibte Mustafa ke gale par churi chali
Zainab khadi hai n ye samaa dekhti rahi
Behre madad bulaati kise haaye nouhagar
Kis kis ka qoo’n baha hai najaane kaha kaha
9. Har laash ran me godo’n se pamaal hogayi
Ashoor ko ye arze bala laal hogayi
Sajjad bhi pukaar uthe ghash se chounk kar
Kis kis ka qoo’n baha hai najaane kaha kaha
10. Nauha raqam ho kis tarha aye arze karbala
Rehan ke baya’n pe Mubarak ne kee buka
Hum karbala pahunch ke pukaare bachashme tar
Kis kis ka qoo’n baha hai najaane kaha kaha
Aye zaayero’n qadam ko rakho dekh bhaal kar
Kis kis ka qoo’n bahaa hai najaane kaha kaha