Uth raha hai ali ka janaza
- Mir Rehan Abbas(Bangalore) (2018)
Arsh par farsh ki ataa hai beqata jisko tu maarta hai
Kuch qabar hai tujhe ibne muljim ye zamane ka mushkil kusha hai
Isne sajdo’n pe sajde kiye hain isne rozo’n pe roze rakhe hain
Iska khan hai ek jaao’n ki roti iske sone ko ek boriya hai
Uth raha hai ali ka janaza
Ro rahe hain yateeman-e-hyder
Uth raha hai ali ka janaza
Momeeno khaak udao saro par
Uth raha hai ali ka janaza
1. Shehr-e-koofa me hai shore girya
Chingaya bekason ka sahara
Khaak udaate hain shabbier-o-shabbar
Uth raha hai ali ka janaza
2. Koun dega yateemo’n ko pursa
Koun zainab ko de ab dilaasa
Har taraf hai qayamath ka manzar
Uth raha hai ali ka janaza
3. Roze daaron wo kaisi sehar thi
Phir na sajde se utha namazi
Suna suna hai mehraab-o-mimbar
Uth raha hai ali ka janaza
4. Aao shabbier-o-shabbar ab aao
Saath kulsum zainab ko laao
Karlo baba ka deedar
Uth raha hai ali ka janaza
5. Hai farishto’n me kohraam barpa
Thar tharata hai arshe mo’alla
Ya ali ki sadaaye hain ghar ghar
Uth raha hai ali ka janaza
6. Qabre zehra se aawaz aayi
Baap bacho’n me ab hai judaayi
Sabr se kaam lo mere dilbar
Uth raha hai ali ka janaza
7. Sunke dil soze zainab ke naale
Dil Mujeeb apna kaise sambhaale
Bepidar hogayi binte haider
Uth raha hai ali ka janaza
Ro rahe hain yateeman-e-hyder
Uth raha hai ali ka janaza