Haye jis kurte mein zindaan

- Mir Rehan Abbas(Bangalore) (2018)


Haaye jis kurte me zindaan talak laayi gayi
Aye sakina tu usi kurte me dafnaayi gayi

1. Tere kaano se na rukh paaya lahoo ka behna
Kab ruka sham talak haaye tamache lagna
Har qadam haaye aziyath hamen pahunchaayi gayi
Haaye jis kurte me zindaan talak laayi gayi

2. Tujhko zindaan me sar baap ka dikhlaay agaya
Imtehaa baap ki chahat ka tumhe dena padha
Jitna tu royi koi bachi na rulwaayi gayi
Haaye jis kurte me zindaan talak laayi gayi

3. Jitna maiyat pe teri barsi ye ghurbath bibi
Aise dafnaayi nahi jaati hai koi bachi
Do bandhe haatho’n se tu qabr talak laayi gayi
Haaye jis kurte me zindaan talak laayi gayi

4. Kabhi garden pe rasan aati kabhi jism bandha
Haaye thi kaisi tasalli ki chini teri rida
Har nafas ek qayamath tere sar dhaayi gayi
Haaye jis kurte me zindaan talak laayi gayi

5. Naam sunte hee tera bhaayi chala aata hai
Shimr lagta hai aziyath tumhe phir deta hai
Jab kabhi teri musibath kahee’n dohraayi gayi
Haaye jis kurte me zindaan talak laayi gayi

6. Mere dada ne to qatil ko pilaaya pani
Aur mere baba ne haiwaano ko baqsha pani
Ek sakina hee meri pani ko tarsaayi gayi
Haaye jis kurte me zindaan talak laayi gayi

7. Meri khwahar ko kaneezi me koi maarta tha
Aur koi raah me sadqa ise dikh laata tha
Poti zehra ki aur baazaro’n me bulwaayi gayi
Haaye jis kurte me zindaan talak laayi gayi

8. Thi dua baba ki mujhse na bichadne paaye
Itna mai chaahoo’n mere bin na use neend aaye
Sheh se Rehan-o-Mubarak wahi chudwaayi gayi
Haaye jis kurte me zindaan talak laayi gayi