Berida shaam ke bazaae

- Mir Rehan Abbas(Bangalore) (2018)


Berida sham ke bazaar me jaati hai behan
Aankhen abbas khuli mat rakhna

Bhaayi iss chand se chehre ko (2) na lag jaaye nazar
Aankhen abbas khuli mat rakhna

1. Teri ghairath ye gawaara na karegi bhaiya
Sab tamaashayi hain aur bhaayi behan be parda
Badhti jaati hai aye abbas (2) kaleje me chubhan
Aankhen abbas khuli mat rakhna

2. Tumko abbas bahut tha mere parde ka khayaal
Aagaya sham ka bazaar aur zainab hain nidhaal
Tere marne se  badhi zainabe (2) kubra ki thakan
Aankhen abbas khuli mat rakhna

3. Aye wafadaar sakina ka gala jakdaa hai
Ashk ke badle teri aankh se qoo’n behta hai
Hoga ye ranj bhatije ke (2)hain haatho’n me rasan
Aankhen abbas khuli mat rakhna

4. Thodi hee dair ko rukta tera sar naize par
Berida sab mera sar dekhte phir tera sar
Khauf hai soch ke rukhjaaye (2)na dil ki dhadkan
Aankhen abbas khuli mat rakhna

5. Ek ghatree me hame’n laash mili qasim ki
Dast me baad tere aisi qayamath tooti
Run me paamal hua iss (2)tarha naushaah ka tan
Aankhen abbas khuli mat rakhna

6. Algharaz qaafela zindaan me tha wavaila
Ek din chaadare’n sab aayi hai ek sar aaya
Ye sama dekhte the zainbe (2)kubra ke suqan
Aankhen abbas khuli mat rakhna

7. Boli zainab ke sakina ki rida aayi hai
Na yateema hai na ab zinda mera bhaayi hai
Thi ye Rehan-o-Mubarak (2) toh ajab see uljhan
Aankhen abbas khuli mat rakhna

Berida sham ke bazaar me jaati hai behan
Aankhen abbas khuli mat rakhna

Bhaayi iss chand se chehre ko (2) na lag jaaye nazar
Aankhen abbas khuli mat rakhna