Baba tumhare baad

- Mir Hasan Mir (2018)


Haye,
sadme utha rahi hu mai baba tumhare baad..(2)
darbaar jaa rahi hu mai baba tumhare baad
sadme utha rahi hu mai baba tumhare baad

1. Baba ye fatima pe musibat ka waqt hai
ye marhala kathin hai qayamat ka waqt hai
khutba suna rahi hu mai..(2)
baba tumhare baad

2. Koi mujhe bataye ke kya tha mera qusoor
sadma hai ye ke shehr ki aabadiyo'n se door
aasu baha rahi hu mai..(2)
baba tumhare baad

3. Baba tumhare baad ye mujhpar sitam hua
mohsin mera shaheed hua wa musibata
ye ghum utha rahi hu mai..(2)
baba tumhare baad

4. Baba ghareeb beti ki ghurbat to dekh lo
ummat ne haq nahi diya binte rasool ko
ye ajr paa rahi hu mai
baba tumhare baad

5. Ummat ki har naqaab ko rukh se hata ke aaj
darbaar mein laeen ke khutba suna ke aaj
haq ko bacha rahi hu mai..(2)
baba tumhare baad