Bhai abbas ko dete the sada
- Shadman Raza (2018)
Bhai abbas, bhai abbas..(4)
Haaye..
Qatl karne ke iraade se, sitamgar jo badha
hogayi dasht e bayabaan ki, khamosh fiza
paas aaya to qayamat ka ye manzar dekha
sajda e shukr mein sar rakhe hue shaah e huda
bhai abbas ko dete the sadaa...(2)
bhai abbas ko dete the sadaa...(4)
zarb jab lagti thi tab shah e huda
bhai abbas ko dete the sadaa...(3)
tan se sar hota tha jis waqt juda
bhai abbas ko dete the sadaa...(3)
1. Jaanta tha ke shahe jinno bashar pyaase hai
jumbishe lab se ye lagta tha ke kuch kehte hai
shimr ne kaan lagakar jo suna
bhai abbas ko dete the sadaa...(3)
2. Aisa bhai bhi zamane mein na dekha na suna
bhai ko jisne tahe teghe sitam yaad kiya
har mu'arrikh ne likha shah e huda
bhai abbas ko dete the sadaa...(3)
3. Waar jis waqt kiya karta tha gardan pe laee'n
kaanp jaata tha falak hilti thi maqtal ki zamee'n
jab bhi shabbir ka kat-ta tha gala
bhai abbas ko dete the sadaa...(3)
4. Aah karte the na faryaad o buka karte the
koi shikwa, na shikayat, na gila karte the
ummat e aas ko dete the dua
bhai abbas ko dete the sadaa...(3)
5. Binte haider jo nazar aayi dar e khaima par
mai abhi zinda hu zainab ye pukare sarwar
baad az sibt e rasool e dosara
bhai abbas ko dete the sadaa...(3)
6. Pehli che(6) zarbo mein..
Pehli che(6) zarbo mein har ek ko kiya yaad magar
phir na ghazi ke siwa aaya koi bhi lab par
hogaya hone ko sar tan se juda
bhai abbas ko dete the sadaa...(3)
7. Aakhri zarb jo zalim ne lagayi asif
hogayi sheh ke tan o sar mein judayi asif
shadma'n tab bhi shah e karbobala
bhai abbas ko dete the sadaa...(3)