Veeraan hui duniya akbar tere marne se
- Shadman Raza (2018)
Haye ghurbat e shabbir
Abbas ke marne se..(2)
tooti hai kamar sheh ki
veeran hui duniya akbar tere marne se..(3)
1. Kya tujhko khabar akbar jo guzri hai madar par..(2)
ek barchhi ka phal tere seene mein utarne se
2. Aa jate the pehle to tum ek sada par hi..(2)
aate nahi ab maa ke faryaad bhi karne se
3. Kis haal mein sughra ko tum chhod gaye akbar..(2)
fursat hi nahi milti aahein use bharne se
4. Jab dekha sar e akbar laila ne kaha rokar..(2)
aye kaash mai mar jaati pehle tere marne se
5. Kya dard ka aalam hai har laash tadapti hai..(2)
maa behen ke be parda maqtal se guzarne se
6. Ek laasha tarayi mein uth-ta kabhi girta tha..(2)
shabbir ke maqtal mein uthne kabhi girne se
7. Binayi chini sheh ki izhaar sare maqtal..(2)
ham shakl e payambar ke duniya se guzarne se
veeran hui duniya akbar tere marne se..(2)