Pukaro aise ke mera imam aajaye
- Shadman Raza (2018)
Pukaro aise ke mera imam aajaye..(2)
mera bhi lashkar e mehdi mein naam aajaye
pukaro aise ke mera imam aajaye..(2)
1. Wilaye haq mein jihad e ghulam jaari hai
faraaz e daar pe meesam ka kaam jaari hai
zubaan kat gayi lekin kalaam jaari hai
dua karo hame tarze kalaam aajaye
pukaro aise ke mera imam aajaye..(2)
2. Karaar ke liye hai beqaraar pehle se
dare imam pe hai janesaar pehle se
bohot hai bheed banalo qataar pehle se
chalo chalo ke ghulamo mein naam aajaye
pukaro aise ke mera imam aajaye..(2)
3. Koi to raahe shahadat pe chalne wala hai
hai koi hurr ki tarha jo sambhalne wala hai
zara si der mein suraj nikalne wala hai
palak jhapakne mein unka payaam aajaye
pukaro aise ke mera imam aajaye..(2)
4. Amal se door hai duniya ki chaah ghalib hai
jo haal hai yehi kehna yaha munasib hai
imaam to nahi ghayab, awaam ghayab hai
imaam aayenge pehle awaam aajaye
pukaro aise ke mera imam aajaye..(2)
5. Qadam imam e zama'n ka rahe sabaat mein hai
ali ki tegh hai qur'aan unke saath mein hai
nizaam e adl imaam e zama'n ke haath mein hai
hamare mulk mein bhi wo nizaam aajaye
pukaro aise ke mera imam aajaye..(2)
6. Imam e asr se milne ki jaa hai farshe azaa
namaaz padhke har ek maang le alam pe dua
jise bhi karni hai karle ziyarate maula
jo majliso mein basad ehteraam aajaye
pukaro aise ke mera imam aajaye..(2)
7. Husaini maao ne qirdaar inka daala hai
payaam e karbobala ne inhe sambhala hai
imam ke liye baccho ko maine paala hai
mera ye lakht e jigar unke kaam aajaye
pukaro aise ke mera imam aajaye..(2)
8. Fida e asghar e besheer aaj hona hai
wila e akbar e mehru ne barchiya kyaein
khuda ki raah mein hum bhi shaheed hojaye
hamare haath mein kausar ka jaam aajaye
pukaro aise ke mera imam aajaye..(2)