Dasht mein goonj rahi thi ali akbar ki azaa'n

- Murtaza Ali Nagri (2016)


Haye akbar..(2)
akbar.. haye akbar..(2)

Dasht mein goonj rahi thi ali akbar ki azaa'n..(2)
haye jhutla di laeeno ne risalat ki zaba'n
dasht mein..

Waqt e rukhsat ali akbar se ye zainab ne kaha..(2)
tum pe qurbaan zamana hai meri raahat e jaa'n
dasht mein..

Ashk shabbir ki aankho se to rukte hi nahi..(2)
maa yu takti thi ke jaise koi padta ho quraa'n
dasht mein..

Waqt e rukhsat ali akbar se ye zainab ne kaha
tum pe qurbaan zamana hai meri raahat e jaa'n

Ashk shabbir ki aankho se to rukte hi nahi
maa yu takti thi ke jaise koi padta ho quraa'n
dasht mein..

Aisi azaan padhi karbobala rone lagi
chhaa gayi shame ghareeba mein ye pyaso ki fugha

Allah, allah mere jazbaat bikhar jaate hai
roke zainab ye pukari koi de mujhko amaa'n

Jod kar haatho ko akbar se sakina ne kaha
bhayya mere ho fida tumpe meri nanhi si jaa'n
dasht mein..

Haaye jhutla di laeeno ne risalat ki zaba'n
dasht mein..

Ek talatum tha bapa fauj e sitamgaro mein
teri awaaz mein hota tha mohammad ka ghuma'n

Sunke azaan madine mein wo tadpi hogi
jiski nazro mein hai akbar tere qadmo ke nishaa'n

Maine akbar se kaha aye mere naazo ke pale
aaja sadqa mai utarungi tera mere jawaa'n

Mai faramosh bhala kaise karunga akbar
tere baba ki nigaaho me rahega ye sama

Aaj jo allah o akbar ki sada gunjti hai
usko yawar khune akbar ne kiya firse jawaa'n
dasht mein..