Mera hussain mujhe karbala bulayega
- Zain Abbas (2017)
Karbala, karbala, karbala, karbala..(2)
Ye aarzu hai ke ek baar jaau karbobala
nahi hai zaad e safar dil tadap raha hai mera
khabar nahi hai ke kismat mein kya likha hai hua
magar khabar hai sakhi hai bohot mere maula
Mujhe yaqeen hai ek roz aisa aayega
mera hussain mujhe karbala bulayega..(2)
1. To kya hua jo mayassar nahi hai zaad e safar
karam hussain sakhi ka jo hogaya mujhpar
mai ek lamhe mein pohchunga karbala ud kar
simat ti jayegi mere safar ki raah guzar
naseeb mera naya raasta banayega
mera hussain mujhe karbala bulayega
2. Unhe pata hai mere dil ki aarzu kya hai
wo jaante hai ke dil mera kyu tadapta hai
unhi ke naam se dil ba khuda dhadakta hai
mere to khwaab o khayalo mein unka roza hai
ataa se unki hi tabeer khwaab paayega
mera hussain mujhe karbala bulayega
3. Karam se unke mai jab arz e karbala pohcha
karunga khaak e shifa par mai shukr ka sajda
mai pehle roza e abbas par hi jaunga
ye lab jo chumenge hashim ke chand ka roza
sitara mere muqaddar ka jag magayega
mera hussain mujhe karbala bulayega
4. Ghume hussain mein farsh e azaa jo bichhta hai
dua har ek azadar ye hi karta hai
ye farsh karbobala mein mujhe bichana hai
ali ke laal ka nauha waha sunana hai
mera to dil ghume sarwar se phatt hi jayega
mera hussain mujhe karbala bulayega
5. Karunga pursa waha jis jagah gire ghazi
hai ab bhi baaki jaha'n aahein shahzadi ki
lagi thi akbar e mazloom ke jaha'n barchi
jaha'n pe kunbe ko ab tak hai fatima roti
waha'n pe qalb mera ashk e khoo'n bahayege
mera hussain mujhe karbala bulayega
6. Habib ibn e mazahir ne khwaab mein dekha
hussain ibn e ali aagaye hai karbobala
to jaake zauja se apni habib ne ye kaha
bas aane wala hai khat mujhko shah e waala ka
Bin e sakhi hai wo ab dosti nibhayega
mera hussain mujhe karbala bulayega
7. Bulaye maula jo salman o zain karbobala
to jaake maqtal e shabbir mein padhe noha
na ek pal ko ruke nauha, matam o girya
janab e zehra ka de hum hussain ka pursa
hamara sabr wo hargiz na aazmayega
mera hussain mujhe karbala bulayega
Mujhe yaqeen hai ek roz aisa aayega
mera hussain mujhe karbala bulayega..(2)
Karbala, karbala, karbala, karbala..(2)