Yateemi hai sakina hai
- Farhan (ALI WARIS) (2018)
Haye...
riwayat mein ye hai jab bhi qafla daudaya jaata tha
sar e shabbir naize se (sadaa ye deta jaata tha)..(2)
sambhalo tum ise zainab
abhi bazaar jaana hai..(2)
yateemi hai sakina hai, bada zalim zamana hai..(2)
1. Laee'n isko darate hai
kabhi durre lagate hai
sitamgar tez naaqo se
ise neeche girate hai
sakina jab bhi roti hai
tamache bhi lagate hai
meri bachhhi ko aye zainab
laeeno se bachana hai..(2)
yateemi hai sakina hai, bada zalim zamana hai..(2)
2. Kaha'n ye phool si bacchi
kaha'n seh roz ke faaqe
abhi dekhe hai khud isne
chacha aur bhai ke laashe
bade sadme uthaye hai
kaee raato ki jaagi hai
hamare baad seene par
tumhe isko sulana hai..(2)
yateemi hai sakina hai, bada zalim zamana hai..(2)
3. Kaleja thaam lo zainab
ye manzar khoo'n rulata hai
mera sajjad ghairat se
nigaaho ko jhukata hai
ke zalim ab sakina ko
kanizi mein bulata hai
behen na paak nazro se
sakina ko chupana hai..(2)
yateemi hai sakina hai, bada zalim zamana hai..(2)
4. Yazeed e nehes kehta hai
meri baali sakina se
agar hai pyaar baba ko
to kehdo sar se khud aaye
hai waqt e imteha'n zainab
meri bachhi na mar jaye
hamare sar ko khud uthkar
ab uske paas jaana hai..(2)
yateemi hai sakina hai, bada zalim zamana hai..(2)
5. Gaye qabr e sakina par
juhi farhan aur mazhar
bohot roye kiya matam
jo dekha shaam ka manzar
unhi logo ke narghe mein
ghiri hai aaj bhi muztar
wo hi tanhaiya'n bhi hai
andhera qaid khana hai..(2)
yateemi hai sakina hai, bada zalim zamana hai..(2)