Bhai hussain kya ye tumhari hi laash hai
- Farhan (ALI WARIS) (2018)
Laash par mazloom bhai ki jab aayi thi bahan
aankh se aasu rawa the aur tha lab par sukhan
ya hussain, ya hussain..(2)
teero se jiska saara badan paash paash hai..(2)
bhai hussain kya ye tumhari hi laash hai..(2)
1. Amma ne jeeteji jise rone nahi diya
ranjo alam koi bhi uthane nahi diya
hadd hai ke dhoop mein bhi nikalne nahi diya
amma ne jisko kaata bhi chubne nahi diya
teero se....
2. Tan par jo ek libaas tha wo taar taar hai
zakhmo se jism hi nahi dil bhi figaar hai
har teer tere jism ka khud sogwaar hai
is laash par ghareeb behen ki pukaar hai
teero se....
3. Qurbaan teri laash par aye jaan e sayyada
afsos teri laash par sar bhi nahi raha
ye haal tera dekh ke karti hu mai buka
behti hai meri aankh se ashko ki alqama
teero se....
4. Abbas ko bulau ya akbar ko du sadaa
tumne uthaya dasht mein laasha har ek ka
laasha uthau mai tera mazloom e karbala
lekin ghareeb e nainawa mujhko ye tu bata
teero se....
5. Paala tha maa ne kya tumhe is din ke waaste
maqtal ki garm ret par tadpoge pyaas se
be rehm log le gaye sar tann se kaat ke
pehchanu kaise laash ko tu hi bata mujhe
teero se....
6. Farhan o mazhar abidi kaise kare baya'n
karbobala ke dasht mein laasho ke darmiya'n
is bekasi ro padi makhduma e jaha'n
ki laasha e hussain pe zainab ne jab fugha'n
teero se....