Amma fizza abbas ko bulana

- Farhan (ALI WARIS) (2018)


Aagaya bazaar e shaam..(5)
Aada ke pattharo ka zainab bani nishana
amma fizza abbas ko bulana

Chadar nahi hai sar par.. haye haye(2)
hai be haya zamana
amma fizza abbas ko bulana

Aada ke pattharo ka zainab bani nishana
amma fizza abbas ko bulana


1. Raaho mein chalte chalte kyu qafela ruka hai
jakda hai bediyo'n mein sajjad gir gaya hai
aata hai shimr lekar.. haye haye(2)
haatho mein taziyana
amma fizza abbas ko bulana

2. Jakdi hui rasan mein lachar bibiya'n hai
sar par rida nahi hai purkhaar wadiya'n hai
in wadiyo'n mein chal kar.. haye haye(2)
pandhra so (1500) meel jaana
amma fizza abbas ko bulana

3. Shabbir ki yateema khati hai jab tamache
mai roke puchti hu tujhko bachau kaise
abbas ko bulale.. haye haye(2)
deta hai shimr taana
amma fizza abbas ko bulana

4. Baalo se apna chehra har gaam par chupau
mai malka e haya hu darbaar kaise jaau
mai ro rhi hu lekin.. haye haye(2)
hasta hai ye zamana
amma fizza abbas ko bulana

5. Zainab ka naam lekar zalim bula raha hai
sajjad natawa ko phir khoo rula raha hai
ghairat ke us khuda ko.. haye haye(2)
manzar hai ye dikhana
amma fizza abbas ko bulana

6. Kaise baya'n karenge farhan aur mazhar
har gaam keh rahi thi zainab yehi to rokar
bazaar se guzar kar.. haye haye(2)
zindaan tak hai jaana
amma fizza abbas ko bulana