Zamee se aasma talak sada e ya hussain hai
- Ali Safdar (2018)
Jaha'n jaha'n hussain hai
waha'n waha'n hai karbala
jaha'n jaha'n hai karbala
waha'n waha'n hussain hai
zamana aaj dekhle
kaha'n kaha'n husssain hai
hussain ya hussain..(4)
Zamee'n se aasma'n talak
sadaye ya hussain hai
1. Jaha bhi hoga zikr e haq inhi ka naam aayega
uthegi bus yehi sada yehi payaam aayega
shahadato mein jab koi kada maqaam aayega
batao razm e ghair o sharr mein (kaun kaam aayega)..(2)
har ek razm e ghair o sharr ke darmiyaa'n hussain hai
2. Kahi pe unki goonj hai kahi'n pe unka naam hai
likha hua furaat ki jabee'n pe unka naam hai
jaha'n jaha'n juloos hai wahi'n pe unka naam hai
alam bhi keh raha hai ye (zamee'n pe unka naam hai)..(2)
alam ki in bulandiyo se jawedaa'n hussain hai
3. Payam e kirdigaar ko amar karegi karbala
tamam ehle dard par asar karegi karbala
har ek dil ki dhadkano mein ghar karegi karbala
har ek daur mein yuhi (safar karegi karbala)..(2)
kabhi na hogi khatm jo wo daasta'n hussain hai
4. Bazahir ab nahi rahe zamee'n pe inke jism o jaa'n
ufak ufak pe dekhiye kaha'n nahi hai wo yaha'n
tamaam ehle haq pe hai inhi ki sar parastiya'n
khade hai maqtalo mein jo (unhi pe hai ye meherbaa'n)..(2)
inhi azeem manzaro ke paasbaa'n hussain hai
5. Hussain ka qayam hai ana minal hussain se
hussain ko dawaam hai ana minal husssain se
nabi ka zikr e aam hai ana minal hussain se
ye aakhri payaam hai (ana minal hussain se)..(2)
isi payaam e akhri ke tarjumaa'n hussain hai
6. Lahu gale se beh gaya magar kalaam reh gaya
jaha'n mein isteghasa e labe imam reh gaya
sina pe bhi azaan ka jo ehteraam reh gaya
azaa'n jo reh gayi to phir (khuda ka naam reh gaya)..(2)
jo goonjti hai aaj tak wohi azaa'n hussain hai
7. Shaheed ran mein hogaye sabhi azeez o aqraba
payam e marg ban gayi tamam arz e nainawa
lahu pehen ke sogaya hussain ka to qafela
hussain ka safar magar (na karbala mein ruk saka)..(2)
wo dekh baad e karbala sar e sina hussain hai
8. Jo teen din ki pyaas mein tadap gay shahadatein
lahu se surkh hogayi jo chand jaisi suratein
sune to kis tarha sune batao ye riwayaatein
bayaan kis tarha se ho (hussain ki museebatein)..(2)
sarapa dard o karb ki bas ek fugha'n husssain hai
9. Hilal zulm o jaur se fiza ye kya bhari nahi
bohot kadi hai manzile ye waqt sar sari nahi
sipahe shimr o saad ki kaha'n sitamgari nahi
yazid to guzar gaya (yazidiyat mari nahi)..(2)
yazidiyat ke waaste qaza e jaa'n hussain hai
zamana aaj dekhle
kaha'n kaha'n husssain hai
hussain ya hussain..(2)
Zamee'n se aasma'n talak
sadaye ya hussain hai
hussain ya hussain..(2)