Ya abul fazlil abbas

- Ali akbar ameen (2018)


Abbas Abbas Abbas
Ya Abulfazlil Abbas
Aabe darya hai udaas
Ya Abulfazlil Abbas
Dhundti hai tuje pyaas
Yaa Abulfazlil Abbas
 
1 Aaj darya ki maojo me hai matam baaki 
Tere hi dam se hai Islam ka parcham baaki
Tum ho Shabbir ki Aas
Ya Abulfazlil Abbas
 
2 Kat gaye baazu to tu Jaafar-e-Tayyar banaa 
Chid gayi mashq to pyaaso ka Alamdar bana
Khoo'n ka pehna hai libas
Ya Abulfazlil abbas
 
3 Nehr ne yaad kia aao ey sakae haram
  Gaad do paani pay tum sibte payamber ka Alam
 Ey Ali ke Akkas
Ya Abulfazlil Abbas
 
4 Ey Alamdar-e-Husain ibne Ali haq ki kasam
Koi khaa sakta nahi hashra talak teri kasam
Hai tera naam Abbas
Ya Abulfazlil Abbas
 
 
5 Paani ke naam se Abbas ki yaad aayegi
Ta Qayamat teri taqrir padi jaaegi
Dhundti hai tuje pyaas
Ya Abulfazlil Abbas
 
 
6 Pehle tum jaake Sakina ko to samjao Husain
Lasha Abbas ka khaimo me na le jaao Husain
Roza Dariya Ke Hoe Paas
Ya Abulfazlil abbas
 
7 Maujo hat jao ke Abbas e Jari Aate hai
Boli talwar ke Khaiber me Ali aate hai
Haideri Fikr Shanas
Ya Abulfazlil Abbas
 
 
9 Sheh e wala ne kaha ey mere Salar utho
Aakhri baar to tum bhai ko bhai keh do
Mere qalbe hassas 
Ya Abulfazlil Abbas
 
8  Mojiza esa to humne nahi dekha koi
Nahi Od Sakta hai rozey pay parinda koi 
Hay Unhe bhi ehsas
Ya Abulfazlil Abbas
 
9 Ek armaan hai Mai Karbobala ko jau'n
Jab thikane se lagu tera thikaana paaoo
Hoe hakikat ye qayas
Ya Abulfazlil Abbas
 
11 Jaake saahil pe bhi Abbas ne paani na piya
Khud wafaoN nay bhi badhkar hai kadam chum liya
Tujhko saqqai hai raas 
Ya Abulfazlil Abbas