Ghar sajana bohot zaroori hai
- Ali akbar ameen (2018)
1) KARBALA WALE AAYENGY GHAR MAY
GHAR SAJANA BOHOT ZARURI HAI
OR USME BA SHAKLE FARSHE AZA
DIL BICHANA BOHOT ZARURI HAI
2) CHAHTE HOE GHAMO SAY DOOR RAHO
OR DUNIYA KA GHAM MILE NA KOI
TOE GHAM E KARBALA KE PAAS RAHO
MUKHLESANA HAI MASHVERA YEHI
FATEMA SAYYADA KE BACHHO KA
GHAM MANANA BOHOT ZARURI HAI
3) RONE AATI HAI APNE BABA KO
FARSH E GHAM PAR SAKINA BIBI BHI
BHULNA MAT KABHI BHI EHLE AZA
HAI VO BACCHI ABHI TALAK PYASI
PANI PYASO KO YAAD MAY USKI
HA PILANA BOHO ZARURI HAI
4) PARCHAME BA WAFA SAJA DENA
FARSH MAJLISKA JUB BICHAO TUM
EK CHHOTI SI MASHK SATH MAY HOE
DEKHO JUBBHI ALAM SAJAO TUM
EY AZADARO PARCHAM E GHAZI
KO UTHANA BOHOT ZARURI HAI
5) JHULA BESHEER KA JHULAE RABAB
APNE BACHHE KA GHAM MANAE RABAB
DEKHO SHAYAD KE FARSHE MAJLIS PAY
AAKE SAYE MAY BAITH JAAE RABAB
EK JHULA SAJAKE OS MAA KO
BHI BULANA BOHOT ZARURI HAI
6) YAAD RAKKHO EY BETIYON WALO
TUM TABBARUKH MAY BALIYAN BATON
AAYE MAJLIS MAY GAR YATEEM KOI
HATH SHAFAQAT SAY OS KE SIR PAY RAKHO
YAAD HAI GHAM TUMHE SAKINA KA
YE BATANA BOHOT ZARURI HAI
7) GHAM MANAO BATUL ZADI KA
KARNA BE PARDAGI KA MATAM BHI
DEKHO SAIDANIO KHAYAL RAHE
JAO MAJLIS MAY BE RIDA NA KABHI
CHAHO KHUSNUDIYE BATUL AGAR
SIR CHUPANA BOHOT ZARURI HAI
8) HAI YE SALMAN AAZMI WAJIB
NA RUKEY SHAH KI AZADARI
CHAHE DUNIYA KHILAF HOE AKBAR
NOHA MATAM RAHEY YUHI JAARI
WAQT E MUSHKIL MAY HE AQIDE KO
AAZMANA BOHOT ZARURI HAI