Abbas mere abbas

- Syed ali asghar abbas nasir (2018)


Na Akbar hai Na Asghar hai
Na pass Bhira Abbas
Na Qasim hai Na Lashkar hai
Na Pass koi hai Aas
Han Tanha hai Lachar bhi hai ..(2)
Or teen din ki hai piyaas

Abbas Abbas Abbas meray Abbas

Piyasi hai Sakina meri
Tanha behn hai meri
Betay ko bhi lachari
Chalay gi yeh kesi sawari
Han Shaam k Bazaroon say ..(2)
Aaye gi sada Abbas

Abbas Abbas Abbas meray Abbas

Abbas gea lashkar bhi gea
Tor k meri Qamar bhi gea
Lay k Noor Ankhon beta gea
Meray bhai ka Lakhtay Jigger bhi gea
Ho mera Noor e Nazer bhi gea..(2)
Ab kesi rakhon ma Aas

Abbas Abbas Abbas meray Abbas

Lashon peh lashay ma lata raha
Her Zakhm ma dill peh khata raha
Tha wada mera jo nana say
Wo kerbal ma main nibhata raha
Utha k bazoo Ghazi kay ..(2)
Kehta tha main Abbas

Abbas Abbas Abbas meray Abbas

Jub zeen o zameen peh tha Lasha
Maqtal ki Zameen peh thien Zahra s.a
Kund ker k khanjer ko Shimr Chala
Teeran Zarbon say Sir Kata
Nasir her zarb peh i sada ..(2)
Aa jao Abbas

Abbas Abbas Abbas meray Abbas