Kushta shud dar karbala

- Imran Datoo (2018)


Khushta shud dar karbala, Shabbir jaane mustafa
Lut gaye aale Muhammad (x2) thi ye zainab ki sada

1. Sina-e-akbar mein barchi, keh rahi thi al-amaan
Zalzala sa tha zamee(n) mein, (ro raha tha asmaan) x2
Be khata kushtand zaalim, asghar-e masoom ra

2. Kat gaye baazu mere abbas ke wa hasrata
Di sada shabbir ko sine mein dam ghutne laga, haa(n) jo dam ghutne laga
Girya kar dand ambiya bar, marde shahe bawafa

3. Nojawaa(n) akbar ke sine mein utarti barchiyaa
Sun rahi thi rege karbal, mawt ki bhi siskiyaa, mawt ki bhi siskiyaa
Sinaa zan aale Muhammad, be hayaa aa ashkiyaa

4. Haaye wo baali sakina ka phuphi se tha sawaal
Teer kha sakta hai kya asghar sa koi no nehaal, asghar sa koi no nehaal
Tishna lab saadaat hastand, marg bar ee karbala

5. Dekh kar pamaal laashe, qaasim-e ibne hassan
Alqama ki girya karti, saari lehre seena zan, saari lehre seena zan
Nojawaan bar KHaak KHuftan, GHalta(n) dar KHun akraba

6. Haaye wo shaame gharibaa, aur khaymo(n) ka dhuaa
Ghash mein the aabid sakina le rahi thi hichkiyaa, le rahi thi hichkiyaa
Majmaae aghyaar har su, be rida zainab kuja

7. Zeen se ayaa zameen par jab ali ke dil ka noor
Baal khole fatema ne khuld mein tadpe huzoor, haan bohot tadpe huzoor
Az zameen ta arsh safdar, bood girya o buka