Momino matam karo sab
- Imran Datoo (2018)
Momino matam karo sab Haidar-e-karrar ka
Sar do paara hogaya hai, khalq ke sardar ka
1. Rang chehre ka udaa, lab kaampte hai baar baar
Teen din se dard ka aalam hai dil hai be qarar
Zakhm khaakar zehr mein, doobi hui talwaar ka
Sar do paara..
2. Faatahe badro ohad par zulm ye kaisa huwa
Jinke qadmon ki dhamak se baab-e khaybar kaamp utha
Uth nahi sakte sahara leke bhi deewar ka
Sar do paara...
3. Dekh kar haal-e ali ek pal nahi zahra ko chain
Qabr-e payghambar pe aakar Sayyada karti hai bayn
Gham se tharra tha hai roza ahmad-e mukhtar ka
Sar do paara....
4. GHash mein hai kulsoom zainab ke nahi rukte hai bayn
Peet te hai sar hassan, betaab hai mola hussain
Aagaya lamha ali ke aakhri deedaar ka
Sar do paara...
5. Royi zainab dekh kar baba ka sar jab khoo(n) mein tar
Rodiye shere khuda zainab ke baazu chum kar
Aagaya manzar nazar mein shaam ke bazaar ka
Sar do paara...
6. Tees dil mein uthti hai aankho(n) se aansoo hai rawa(n)
Yaad hai haider ko zehra ki shikasta pasliyaa(n)
Gham nahi bhule hassan shere khuda darbar ka
Sar do paara...